لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali Asghare Besheer (as)

Baqari Brothers2022
ShiaNohaLyrics
Haye meray asghar (as) ×4 Bano ne kaha roke Ali Asghar e besheer Sunti hun ke gardan pe laga qad se bada teer 1) Khun bah gaya maqtal men wo gham tum ne uthaya che maah ke es sin mai bhi pani nahi'n paya roye gi teri piyas ko ye madar e dilgeer 2) Sine se lagaya hai tujhe maut ne aa kar ji bhar ke suna bhi na saki loriyan madar din kaisa musibat mai dikha kar gai taqdeer 3) Aaja teri gardan ka zara zakhm to dekhun Marham to mayasar nahi'n ansu hi laga lu maloom hai lut jaye gi kuch deer mai jageer 4) Pani ke ewaz tum ko kiya jaye ga zakhmi wapas nahi'n aao ge khabar maa ko nahi'n thi ab khoon rulaye gi mujhe gham ki ye Tasveer 5) Ay khun kiye dil ai meri ankhon ki basiraat maa bhool na paye gi teri phool se surat wabsta thi tum se hi meri akhon ki Tasveer 6) Is dil pe jo guzri hai wo rudaad sunaye maa fir se tumehe apne kaleje se lagaye aye noore nazar tum hi banado koi tadbeer 7) Zakhmi tera nan naha sa gala deekka hai jab se sar peet ti hai akhon se ansu nahi'n rukte ro ro ke na mar jaye kahi'n karb se ham sheer 8) Hoti thi'n jise deekh ke yade'n teri taza afsoos laino ne jala dala wo jhula hasta raha ghurbat pe meri lashkar e be peer 9) Hai mir hilal aap ki dahleez ka naukar lillah karam babe hawaej karo es par ye sara jahan es ko kahe zakir e Shabbeer