لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nahi ab koi bhi yaaro yawar

Busheri2014
ShiaNohaLyrics
Shaheed ho gae ansaar wa ashaab sabhi Husain tanha khade hai sitam ke narge me Zabaan chup hai nazar dhoondti hai charon taraf Kiya jo yaad shahidon ko to kaha dil ne Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar Na guzre aise musibat na ho kisi ka naseeb katai tune bhi gardan wo zaefee me Habib Sabab-e-dosti bachpan se isliye kya raha mai teri maut ka banjau main shamadeed gawah Tu nahi samja ke is dost ne kya tujh ko diya Tune has has ke magar jaam Shahadat ka piya Na kar saka main Karbala me teri Mehmaani Na mil saka hai tujhe teen din talak paani Rahi ab yaad e Guzishta baaki Jab talak Rooho Qalb ka ye raabta baaki Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar Aye mere quwate baazu mere Abbas e Jawaan Jo tere dum se thi himmat wo gai jaane kahan Tune chahaa tha Yazidi ko ulat kar rakh doon apni takat se Ta'arikh badal kar rakh doon Tere jalaal ko roki thi wo talwaar hoon main Jo Tere baazoo kate us ka zimmedar hoon main Tu chala mashke Sakina liye sue darya Maine jaana ke sahara mera ab toot gaya Hai khabar tujhko ae mere bhai Tere gham se ye zaefee me qamar toot gai Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar Mere bete mere Akbar tujhe sina jo lagi Tujhe maloom hai kya baap ke dil par guzri Tu samajhta tha ke gum khwaar nahi tere liye Maine roya hai magar dil ka lahoo tere liye Tere Lashe pe main poncha hu ye kis tarh kahoon Tujhe hichki jo lagi, sina ugal tha tha lahu Tere laashe ko ghaseete hue le aaya hoon Bad'az qatl aziyat tuje pohchaya hu Ae Jawaan nazneen Ahmed Ki Shabeeh Tune baba ke liye Jaan nichawar kardi Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar Ae mere Qasim e Naushad Shabeeh e Shabbar Tere Israar pe khamoosh raha main kyon kar Maine sub'ha se kai laash to dekhi hain magar Tere lashe pe jo daudae wo ghode lashkar Fir teri lash ke tukdon ko jama maine kiya Karu kis dil se wo pur dard manazir ka bayan Meri khaatir ye hua haal tera Hai tere maut ke gum se ye dil figaar mera Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar Mere bete mere Asgar ae mere Tashnalab Tune dekhi hai kahan gum me tere maa ki tadap Main tujhe laaya tha maidan me paani ke liye Teer hurmal ka tha kaafi ye kahani ke liye Na raha tu abhi pyaasa na teri pyaas rahi Meree haathon bus khaamosh teri laash rahi Waqt e Aakhir tujhe paani ka ek katra na mila Yahi afsoos mere bache mere dil me raha Na mayassar tha tujhe gusl o kafan Jaaegi saath mere bus yahi ek dil ki chubhan Nahi ab koi bhi yaro yawar ... Nahi ab koi bhi yaro yawar Ek akele ke liye Shimr (la) ka Harsoo Lashkar Hain imtehaan magar main bhi to dil rakhta hoon Haaye ek bhai ka ek baap ka dil rakhta hoon Maine Akbar ke kaleje me sina dekhi hai Gale pe teer aur Asger ki Zubaan dekhi hai kiya hai sabr magar ek baar roya hoon Sawaar hoke jo neeche zameen par dekha hoon Lipat ke Ghode se baithi thi jo Sakina wahan Laraz raha tha Jism, ashk the ankhon se rawan Main jaanta ho ke kis tarh dil sambhala hoon Utar ke Ghode se Bachi ko jo Uthaya hoon Ye sin hai kya Meri bachi ke gum uthane ka Ya qaid hone ka aur Taziyane khaane ka Chacha ka gum hai iske dil me Gum hai bhai ka Kahan se zabt ho gum baap ki judai ka Siwa na baap ke soi ho jo kabhi bachi Andheri raat me roegi raat bhar bachi Jahaan chod kar main Jaonga .. Jahaan chod kar main Jaonga Na reh sake gi Sakina use bula loonga.