لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tera sadqa hussain

Daniyal2013
ShiaNohaLyrics
Ya husaina husaina husaina..(4) Kuch bhi bacha na tera magar deen bachgaya zehra ke laal tune to hairan kar diya Ya husaina husaina husaina..(2) Kuch bhi bacha na tera magar deen bachgaya zehra ke laal tune to hairan kar diya sar ko kata ke kar diya baland la ilaah lashe pe tere roke ye kehne laga khuda tera sadqa husain..(4) 1. Mai janta hu tu hi mera kaar saaz hia mere samet nabiyo ko tujhpar hi naaz hai Ya husaina husaina husaina..(2) Mai janta hu tu hi mera kaar saaz hia mere samet nabiyo ko tujhpar hi naaz hai Naize ki nok par bhi tu hi sarfaraz hai dono jaha me raej ye meri namaz hai tera sadqa husain..(4) 2. Sanke baja diya hai jo parwardigar ke sehra ki garm ret par sajda guzar ne Ya husaina husaina husaina..(2) Sanke baja diya hai jo parwardigar ke sehra ki garm ret par sajda guzar ne khanjar tale abbas bhai ko pukar ke khaimo se aae bayn har ek pardadar ke tera sadqa husain..(4) Tere qirdaar se ae doshe mohammad ke makee izzat e ambiya baqi hai qura baki hai lashkare shaam se aati thi sadae paiham bhejo shabbir agar koi jawa baqi hai shabe ashoor guzarne pe jo ummat ne suni aaj bhi shakl e payambar ki azaa baqi hai 3. Mar kar husain aapne jina bacha diya dooba tha zulmato me safina bacha diya Ya husaina husaina husaina..(2) Mar kar husain aapne jina bacha diya dooba tha zulmato me safina bacha diya dekar jawan bete ka seena bacha diya kya kya na tune shahe madina bacha diya tera sadqa husain..(4) 4. Khaimo se aa rahi hai bayat waqt ye sada hum lut gaye hai dasht me mazloom e karbala Ya husaina husaina husaina..(2) Khaimo se aa rahi hai bayat waqt ye sada hum lut gaye hai dasht me mazloom e karbala kubra ka taaj loot ke ghut marna ashkiya deene khuda bachalo lut kar meri rida tera sadqa husain..(4) 5. Tapti hui zamee ko musalla bana diya tune husain deen awalla bana diya Ya husaina husaina husaina..(2) Tapti hui zamee ko musalla bana diya tune husain deen awalla bana diya sajda azeem taur pe allah bana diya is dasht e nainawa ko mo'alla bana diya tera sadqa husain..(4) 6. Zikr e husain ain ibadat khuda ki hai hafzaal aaj karlo ziyarat khuda ki hai Ya husaina husaina husaina..(2) Zikr e husain ain ibadat khuda ki hai hafzaal aaj karlo ziyarat khuda ki hai nauke sina pe jaari tilawat khuda ki hai teghe jafa ke neeche shahadat khuda ki hai tera sadqa husain..(4)