لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaanpi zameen hil gaya, sadme se aasman

Dasta Ansar E Akbaria as Baltistani2020
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain..(4) Ya Hussain, Shah Hussain, Ya hussain Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) Zahra ka laal hogaya..(2), maqtal mein be amaa'n Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) 1. Maqtal mein be amaan tha shabbir ka badan sir nange roke kehti thi mazloom ki bahen bhaiyya tumhare waaste..(2), dhundhu kafan kaha'n Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) 2. Wo bacche jo rasool ke dil ka sukoon the darya kanare unke khayaam jal gaye ummat ne phir bhi di nahi..(2), sadaat ko amaan Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) 3. Bosa liya hai khaak ne zahra ke laal ka qurbaan hone dasht mein taara utar gaya sajda lahu mein tarr hua..(2), roti rahi azaa'n Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) 4. Dekha badan jo bhai ka teero'n ke darmiyaa'n dasht e bala ki khaak par zainab ne ki fughaa'n baba madad ko aaiyye..(2), bhai hai be amaan Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) 5. Pyaase ko ek boond bhi paani nahi mila sukhe gale pe dasht mein khanjar rawa hua rokar kaha ghareeb ne..(2), ghazi ho tum kaha'n Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2) 6. Bete paas dasht mein maadar jab aayi thi pamaal laash dekh ke yaawar hussain ki yaad aagayi batool ko..(2), mohsin ki dastaa'n Kaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)