لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye khaak ke zarro

Daste Imamia (iso)2007
ShiaNohaLyrics
(Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Laasha kisi mazlum ka be goro kafan hai Waaris koi moujood nahi rooh ka saban hai Dafnaane ka saamaa'n karo aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Shabbir ne tarjeeh jise di thi kafan par Aadaa ne woh kurta bhi na rehne diya tan par Ab tum kafan uska bano aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Bedardo ne laashe ka ajab haal kiya hai Mazluum ka tan ghodo se paamaal kiya hai Aada ko bikhar lene do aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Sar apna kataye huwe jo ran me pada hai Ye ehmade mukhtar ki godi ka palaa hai Lillah aziyat na do aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Hai dukhtar-e-mehboob-e-khuda ka ye dulaara Ye haidare karraar ki aankho'n ka hai taara Laash iski na barbaad ho aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Chinti na agar zainab-e-mazloom ki chadar Ye laash pari rehti na is tarha zamee'n par Dafnaane ka saamaa(n) karo aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Le jaate na aabid ko agar karke giraftaar Be ghuslo kafan rehta na yu sayyade abraar Qaidi ki niyabat karo aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2 Maara gaya hai jo bhi shaqi dafn huwa Aur sibte payamber yuhi beghor para hai Matti shahe bekas ko do aye khaak ke zarro aye tez hawao (Aye khaak ke zarro aye tez hawaao) x2