لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sin Kam Hai Sakina Ke Masaib Hain Zyada

Farhan Rizvi2025
ShiaNohaLyrics
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 1) ho kaise bayan ahle aza hale sakina Dil rota hai sun sun ke tadapta hai kaleja Tarikh me dekhi na koi aisi yateema Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 2) ho lakhon Salam ahle aza tashnajigar par Jo nake pe bandhi gai rassi se jakad kar Padhta hai zamane ka imam aaj bhi noha Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 3) dhate hai laien zulm e sitam bacchi pe itne Me sochti hu zinda ye reh payegi kaise Hai khouf ke sadmo se na mar jaye yateema Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 4) dekhi nahi jati hai tamacho ki aziyat Reh reh ke badal jati hai rukhsaro ki rangat Is tarah se zalim ne lagaya hai tamacha Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 5) nanha sa gala kas ke rasan me to bandha hai Kurte ka yateema ke ye daaman bhi jala hai Kano se lahu ab bhi hai reh reh ke tapakta Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 6) zainab ne phir ek baar ye ghazi ko sada di Hai sakht masayeb me giraftar bhati ji Halat to yateema ki zara dekh lo bhaiya Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 7) mushkil se bhut saans jo ghut ghut ke hai leti Nanha sa gala dukhta hai aawaz hai aati Ab jayada dino reh nhi payegi ye zinda Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 8) rone pe hai pabandi bhala kis tarah roye Jakda hai jo rassi me gala kis tarah soye Soti hai to nanha sa gala or hai dukhta Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2 9) likhoge "zafar" kya kya sakina ki musibat Nako se safar karne se yu ho gyi haalat Gurbat bhi raah e sham me ye padhti thi noha Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2