لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nanna sa phool

Farhan (ALI WARIS)2002
ShiaNohaLyrics
Nanna sa phool Inkaar Aasman Ko Hai Raazi Zamin Nahin Asghar(a.s.) Teray Lahoo Ka Thikana Kahin Nahin Maidan Mein Garmi Hai Matti Hai Dhool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai Asghar(a.s.) Ki Qabr Khood Kar Rotay Raha Hussain Kehtay Thay Haaey Lakht-e-Jigar Meray Dil Kay Chain Teray Liey Hussain(a.s.) Bohat Dil Malool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai Khaimay Ki Simt Kis Tarha Jaaon Meray Pisar(a.s.) Kis Tarha Teray Marg Ki Baano(s.a.) Ko Doon Khabar Us Ko Teray Baghair To Marna Qubool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai Ab Hum(a.s.) Bhi Marnay Jaatay Hain Aey Laal(a.s.) Alwidaa Laasha Hamara Hona Hai Pamaal Alwidaa Bach Jaey Deen Nana Ka Mehnat Wusool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai Laasha Hai Us Kay Haat Peh Khoon Mein Bhara Hua Jisko Lab-e-Furaat Bhi Pani Na Mil Saka Jis Kay Liey Rasool Kay Sajday Ko Tool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai Aey Fauj-e-Kibria(a.s.) Kay Mujahid(a.s.) Tujhay Salam Kia Shaan-e-Be Zubani Say Tu Nay Kia Kalam Tareekh-e-Guftugu Ka Anokha Usool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai Zakhmi Tera Gala Hai Lahoo Phool Sa Badan Khaimay Kay Dar Peh Baali Sakina(s.a.) Teri Behan(s.a.) Kehti Hai Teray Baad Ghumon Ka Nuzool Hai Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai