لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Lashkar-e-Hussain Ban Kay

Farhan (ALI WARIS)2003
ShiaNohaLyrics
Lashkar-e-Hussain Ban Kay Isteghasa Hai "Rehan Azmi" Mera Bargah-e-Aakhir-Uz-Zamaan(a.s.) Mein Aey Khuda Lashkar-e-Imam(a.s.) Mein Hon Saaray Matmi "Farhan" Majlis-e-Hussain(a.s.) Mein Karay Dua (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Gharian Intezar Ki Tamam Ho Chukin Zulm-o-Jor Ki Fizaen Aam Ho Chukin Aap(a.s.) Kay Zahoor Ki Jo Thin Nishanian Roonuma Woh Sab Har Aik Gaam Ho Chukin Dair Ho Chuki Sahib-Uz-Zamaan(a.s.) Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 De Rahay Hain Kab Say Al-Ajal Ki Hum Sada Bhaijtay Hain Har Baras Areezay Aur Dua Mauj Ko Banalia Hai Apna Namah Bar Jaanti Hai Mauj Hi To Aap(a.s.) Ka Pata Aapp(a.s.) Kay Liey Hum Tarhaptay Hain Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Masjidein Pukarti Hain Har Namaz Mein Bargahein Dhondti Hain Har Ghari Tumhain Majlison Mein Parhtay Hain Dua-e-Nahia Aarzoo Hai Is Sadi Mein Tum Ko Daikhlein Daur Khatm Ho Ab Yeh Ghaib Ka Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Intezar-e-Adl Hai Adalaton Ko Bhi Aap(a.s.) Aakhri Imam(a.s.) Barhwein(12th) Ali(a.s.) Aap(a.s.) Aeay To Dil Ko Chain Aaeyga Aap(a.s.) Hi Kay Intezar Mein Hai Zindagi Taigh-e-Haidery(a.s.) Aap(a.s.) Laengay Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Hain Libas-e-Deen Mein Mukhalif-e-Aza Baichnay Lagay Khateeb Zikr-e-Karbala Para Para Kardia Hai Ittehad Ko Majlison Say Hai Namaz Ka Muqabla Waris(a.s.)-e-Aza Deer Na Laga Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Parhtay Hain Namaz Sheh(a.s.) Kay Saaray Matmi Zikr Hai Namaz Ka To Majlison Mein Bhi Sajda-e-Hussain(a.s.) Ka Jisay Khayal Hai Janta Hai Manzilat Ko Woh Namaz Ki Is Tafarraqay Ko Mitaeay Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Paash Paash Aap(a.s.) Ka Bhi Dil Hai Ya Imam(a.s.) Yaad Aap(a.s.) Ko Bhi Hai Woh Karbala Ki Shaam Jab Ridaen Bibion(s.a.) Kay Sar Say Chin Gaen Jal Rahay Thay Jis Gharhi Hussain(a.s.) Kay Khayam Pursa Lejiey Har Shaheed(a.s.) Ka Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Ris Raha Hai Khoon Ab Bhi Jis Kay Kaan Say Woh Sakina(s.a.) Qaid Say Na Aai Laut Kay Qaid-e-Shaam Mein Lehad Hai Us(s.a.) Ki Aaj Bhi Aati Hai Sada Yeh Aaj Us(s.a.) Ki Qabr Say Zalimon Say Ab Intaqaam Lein Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2 Intaqaam Shah(a.s.)-e-Karbala Ka Leingay Aap(a.s.) Majlison Mein Zikr-e-Karbala Kareingay Aap(a.s.) Matam-e-Hussain(a.s.) Kay Urooj Kay Liey Apnay Jad(a.s.) Kay Haal Ka Nauha Parhheingay Aap(a.s.) Ghazi(a.s.) Ka Alam Hoga Haath Mein Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula (Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2