لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mei chal bhi nahi sakta

Farhan (ALI WARIS)2004
ShiaNohaLyrics
Mei chal bhi nahi sakta (Haaye Sajjad, Haaye Bimaar) x3 Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta (aankhon se lahu meri) x2 ik pal bhi nahi rukta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Ye khun jo behta hai, is pak ka matam hai, mujhe touk aur beri ke, gham se bhi sawa gham hai, (maa behne phuphi aayi) x2 baazaar mei be parda Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, naamu se mohammed ki, jis waqt ridaa utri, (baazaar mei aaya hai) x2 zindaan ye mera laashaa Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Tatheer ke parwardaa, ummat ne phiraaye hai, us bibi ko logon ne, darbaar dikhaaye hai, (jis bibi ka baba ne) x2 chehra bhi nahi dekha Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar, kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, (jab maa ne kahaa mujhse) x2 tum koun ho ai betaa Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, maasum sakina ye, har mour pe kehti thi, (kya dafn huwe honge) x2 karbal mei mere baba Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega, (ghairat ke khuda ka sar) x2 neze pe nahi rukta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Akber ka hasin chehra, jo dekhte rehte hai, sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, (is husn ke paikar ki) x2 ab tak hai maa zindaa Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai, aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, (paa bande silaasil hun) x2 kaanton se bhara rasta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula, farhaan aur shoukat ki, aukaat kahaan maula, (tauheed bhi karti hai) x2 har waqt tera giryaa Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta (aankhon se lahu meri) x2 ik pal bhi nahi rukta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta