لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam

Farhan (ALI WARIS)2006
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain Qariya qariya aa gaya kucha kucha gaya Har jagah zikr e aal e mohammed kiya Milgaya jis jagah mujhko farsh e aza Apni pehchan karwayi hai iss tarha Naam hai mera azadare Hussain Kaam mera maatam e Hussain hai Kya fikr ho duniya ki mujhe kya ho bhala gham (2) Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Maulai mujhe ye kehta hai saara zamana Tauqeer mujhe deta hai Zehra ka gharana Kehta hai mujhe zakir e shabeer e do alam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Pehchaan meri saare zamane pe ayaan hai Sine pe mere maatam e sarwar ka nishaan hai Nauha hai hoton pe mere aur ankh meri nam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Agar chahun toh khud apni he taqdeer badal dun Pairon ke tale saare yazeedon ko kuchal dun Maatam se mujhe rokle kisme hai bhala dum Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Har katra mere khoon ka deta hai gawahi Hun lashkar e shabeer ka be tegh sipahi Hun barsar e paikaar yazeedon se hum adam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Imaan bhi maatam hai ye maatam he aqida Jeena ka hunar majlis e shabeer se sikha Ye baat mere hoton pe rehti hai hum adam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Majlis he meri quld hai majlis he mera ghar Maa baap bhi aulad bhi qurban isi par Ahlan yehi tum bhi karo aur yehi gham Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Ye nasl e yezidi jise kehti hai tamasha Dar asl ye maatam hai usey muh pe tamacha Fatwon ki fiza rokhna payegi ye maatam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Woh dast e bala sham e ghareeban ka andhera Kehti thi ye saidaniyon se Sani e Zehra Hai bibiyon sad shukr ke laachar nahi hum Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Karbal se sue shaam chali Aal e Payambar Zainab se yehi kehne laga ye laasha e Sarwar Ye kehti chalo ay meri masooma e alam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Shehzadi e Kaunain ki ye mujh par ata hai Haathon ki lakeeron may meri ye bhi likha hai Ta hashr qalam chalta rahega mera paigham Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2) Allah ka mazhar ye sab se bada hai Usne hume maatam ke liye paida kiya hai Farhan yehi keh ke nighahon ko karo qam Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parcham Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)