لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ay mere baba

Farhan (ALI WARIS)2007
ShiaNohaLyrics
Ay mere baba sham e ghareba aag ka manzar aaye najaf sey fateh e kheber ujri huwi Zainab ne dekha Rote huwe jab bap ka chehra maqtal mein gunja Zainab ka noha (ay merey baba haye merey baba) x2 kya kya masaib tooty hein mujhe par batla raha hei ye khuni manzar ik din mein ujra mera bhara ghar na rahe bhayi na koi beta (ay merey baba haye merey baba) x2 ye karbala hei ya khuni jangal dekho to baba tum suw-e-maqtal sab key lahu sey bhiga hei anchal sarey azeezoun ka gham uthaya (ay merey baba haye merey baba) x2 dekh sako to ye dekho baba bikhra huwa hai qasim ka sehra he tukrey tukrey dulha ka lasha dil ko sambhaley rooti hai farva (ay merey baba haye merey baba) x2 bhuley ga kese ye qalb mera ghazi ke shaney Akber ka seena Bano ka noha Asghar ka jhula dil mein hei merey ye dagh kesa (ay merey baba haye merey baba) x2 pala tha jis ko ma ban key mene chida kaleja us ka sina ney suno zara noha us ki maa sey Laila ka dil bhi gham sey chida tha (ay merey baba haye merey baba) x2 kia tum ney baba deikhi tarayi bazu burida hei mera bhayi baad us key ham pe uftad aayi tha us key dam sey parda hamara (ay merey baba haye merey baba) x2 abid ko sholo sey bhi nikala deiti thi bachoun ko mein sahara Ehl-e-haram ko mein ney sambhala tanha diya hei khaimo(n) ke pehra (ay merey baba haye merey baba) x2 ye merey ansu kehte hai(n) baba is tarha roney sey kia miley ga jesey bhi ho ab jeena parey ga zindagi bhar ka gham mein ney paya (ay merey baba haye merey baba) x2 "farhan-o-mazhar" kaisa tha manzar baap key qadmo(n) sey wo lipat kar kehti thi Zainab tera luta ghar waqt-e-madad tha koi na aaya.. (ay merey baba haye merey baba) x2 (maqtal mein gunja Zainab ka noha) x3