لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Pyaari Sakina

Farhan (ALI WARIS)2007
ShiaNohaLyrics
Pyaari Sakina namaz e shab mein dua karte the Shabbir ik phool si beti dey mujhe katib e taqdeer Haay, Shabbir ko khaliq ney sakina jo ata ki Zainab ki si surat thi sab us mah laqa ki jis dam diya godi mein usey laker chacha ki hathoun pa us ko ley kar ghazi ney dua di rakhe tujhe aye laadli Allah salamat dunya mein terey sar pa rahy shah salamat Sakina Sakina (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x3 seerat-e-Zehra thi jis mein thi sakina wo kitab god mein lete the ghazi aur kabhi Umme Rabab seena-e-Shabbir par jo phool si khilti rahi Zainab-o-Kulsoom key jo saye mein palti rahi (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 na kisi gham ka tasawwur tha na ranj-o-yaas ka paya is bachi ney jhula bazu-e-Abbas ka naksh tha us nazneen ke dil pe nam Abbas ka youn samjh lo pehney rehti thi vo taveez-e-wafa (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 naz uthathi thi sakina ke sabhi shehzadiyan kisa-e-khaiber suna kar deti thi maa loriyan zanu-e-mader pe takiya tha kabhi taqdeer par Cheyn sey sooti thi shab ko seena-e-Shabbir par (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 Dekhti hi dekhti wo do baras ki hogayi bachiyo(n) sey khilney ki umr hoti hai yahi Khelti thi ghar key angan mein kabhi Sughra ke saath Ghumney jati kabhi Akber kabhi baba key saath (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 Khelke doran lagti thi Sakina ko jo piyas door key jati thi bachi us ghari amu ke paas haye kya din the keh pani manga ur pani mila ur ik vo waqt piyasi thi sar-e-karbobala (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 Algharaz behr-e-safer jab ghar sey nikle shah-e-deen rah mein kitni aziyat sehgayi wo nazneen dasht mein piyasi rahi aur baap ki furkat sahi qayd ho kar phir wo bachi sham ke zinda(n) gayi (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 umr se baqi jo din the wo guzarey qayd mei kal talak aabad tha ghar ab hai sare qayd mei qayd khane ke masaib qalb par sehti rahi haye baba haye baba raat din kehti rahi (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2 mar dala qayd khaney ney usey uftad ney qabr mei us ko utara sayyad-e-sajad ney roza-e-bali Sakina par jo "mazhar abidi" jayega "farhan" lab par hoga noha bas yehei (Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2