لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tera matam shahe deen

Farhan (ALI WARIS)2007
ShiaNohaLyrics
Tera ghum zinda hai abhi tak sogwaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(3) 1. Tera akbar seene pe jiske maara tha naiza ehle jafa ne..(2) royi karbal ki zamee'n buka thi regzaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 2. Tera qasim ghodo ne jisko pamaal maqtal mein kar diya tha..(2) haye wo tanha tha sare maqtal hazaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 3. Tera ghazi dariya kanare sota hai haye shane kata ke..(2) rota hai darya falak hai sogwaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 4. Tera asghar hatho pe tere maara gaya jab teere sitam se..(2) chhayi maqtal mein khiza fugha'n thi ye baharo'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 5. Tere ghar ko ummat ne loota khaime jalaein cheeni ridayein..(2) deti thi zehra dilase dilfigaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 6. Teri dukhtar daaghe yateemi paaya tha jisne is kamsini mein..(2) aag daman mein lagi lahu tha goshwaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 7. Teri behne jab sar barehna bazaar e kufa se jaa rahi thi..(2) rote the abid fugha'n thi ashk baro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 8. Teri zainab beto'n ko apne royi nahi hai royi hai tujhpar..(2) behna bulati thi tujhe ashko ke dharo'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2) 9. Tera mazhar din raat nauhe likhta hai tere purse ki khatir..(2) deta hai wo bhi sadayein sogwaro'n mein Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)