لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aik ahsaan kar

Farhan (ALI WARIS)2008
ShiaNohaLyrics
Aik ahsaan kar Jub shaam ka bazaar a gaya Or cheeni gay jub chadar Jub zaalim nay zainab(s.a) ka naam pukara Zainab(s.a) zainab(s.a) zainab(s.a) Yeh pukari ro kar (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x3 (phir us ke baad kuch na mangoongi) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Laash to kab ki ban chuki hoon may Dil to bas aadatan dharakta hai Maar dalay na yeh sitam mujh ko Meray bhai yeh mujh ko lagta hai (jo chahta hai zindagi meri) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Dekh sajjad(a.s) ki taraf ghazi(a.s) Tujh say karti hai yeh fughaan zainab(s.a) Aik yahi bojh us ke dil per hai Kahan bazar or kahan zainab(s.a) (hai aik raah us ke jeenay ki) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Kaise tanay sahoon may logon kay Ghum say phatnay laga hai dil mera Sub yeh kehtay hai yeh woh zainab(s.a) hai Jis ka abbas(a.s) jaisa bhai tha (zabanay bandh karday tu sub ki) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Meri haalat meri gharebi per Bhai nezay say khoon rota hai Amma roti hai aur baba(a.s) bhi Kyun ke ab waqt aisa aya hai (ab aa rahi hai ik kaneez meri) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Karbala bas gayi hai aankhon may Marsiya ban gaya mera chehra Taziyaano nay ay meray ghazi(s.a) Pusht per likh diya safar mera (hai is kay baad bhi buka meri) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Ik sitam or bhi yeh baki hai Kis tarhan tay yeh marhala ho ga Haath rasi may or khulay sar hoon Kaisay shereen say saamna ho ga (ya ay moot ya meray ghazi(a.s)) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Dekhti hai mujhay najis aankhay Naam mera shakee ke lab per hai Kash kha jaye yeh zameen mujh ko Aisay jeenay say yahi behtar hai (yeh aakhri hai iltija meri) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 Ja kay "farhan" un kay rozay per Tum suna dayna yeh kalaam mera Bibi zainab(s.a) kaha hai "mazhar" nay Teri azmat ko hai salaam mera (jo apnay bhai ko yeh kehti rahi) x2 Zaleemo say meri rida laday (Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day) x2 (Phir us ke baad kuch na mangoongi) x2 Zaleemo say meri rida laday Aik ahsaan kar meray ghazi(s.a) zaleemo say meri rida la day