لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Gham-e-hussain

Farhan (ALI WARIS)2008
ShiaNohaLyrics
Gham-e-hussain Dekh kay giryao matam har aik farsh-e-aza per duay karta hoon mola(a.s) (jub talak hai yeh jahan) x2 hai dua meray khuda(j.j) (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x2 Jub talak hai yeh jahan, hai dua meray khuda(j.j) (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x2 Teray huzoor dua mangtay hai ahl-e-aza Kubool kar lay bahakay rasool(s.a.w) sub ki dua Hamesha baki rahay zikr-e-shahenshahay wafa Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Hum rahay ya na rahay rahay baki yeh sada (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Zamana laakh badalta rahay nigah magar Dilon say mitnay nahi paye karbala ka asar Azan kay saath karay matmi sada bhi safar Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Jub chala zikr tera dil nay mangi yeh dua (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Yazedi fikr ko tu khaak may milata rahay Faza may perchamay abbas(a.s) lahlahata rahay Hussaini(a.s) azm yazeedon ka sar jhukata rahay Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Sar jo sajday may gaya hum nay so baar kaha (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Ghamay hussain(a.s) ko mehfooz rakh jafaon say Hussainiat(a.s) ka shajar door ho khizaon say Saja diya hai musalay ko in duaon say Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Lab kusha jub bhi huwa har hussaini(a.s) nay kaha (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Hamaray zakhmo ka marham hai yeh azay hussain(a.s) Sub hi ibadatay kartay hai hum baray-e-hussain(a.s) Labo pay taba qayamat sada ho haaye hussain(a.s) Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) In duao(n) may khuda(j.j) saath hai karbobala (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Rahay wafa may kabhi dagmaga na paye qadam Hamaray dosh pay lehraye ba wafa ka alam Hamaray azm say larza rahay yeh ahl-e-sitam Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Jub bicha farsh-e-aza matmi kehnay laga (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Yeh majlise bhi khuda(j.j) madresoon say kam to nahi Tera rasool bhi kehta hai sirf hum to nahi Ghamay hussain(a.s) bara hai hamara ghum to nahi Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Apnay ghum bhol gaya jis nay rokar yeh kaha (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Wikare majliso matam barhatay jayengay Charagh ashk-e- aza jalatay jayengay Hussaini(a.s) fikr dilo may jagatay jayengay Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Jub kalam chalnay laga keh uthi fikr-e-rasa (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x4 Yahi akeeda hai "farhan" aur "mazhar" ka Kay ek qabelay kay afrad hai yeh ahl-e-aza Yeh nawha khwan yeh shair sabhi ki hai yeh sada Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j) Hum rahay ya na rahay rahay baki yeh sada (Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe) x8