لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yaad aayi na tumhe fatema sughra

Farhan (ALI WARIS)2008
ShiaNohaLyrics
Baba ka karte karte intezarr... Jab thak gyi sughra... Ro ro k apne baba ko... Sughra ne khat likha... Tum gye ghr se meri luth gyi duniya baba.. Yaad ayi na tumhe fatima sughra baba..×2 Karbala jake hamein bhool gye kia baba.. Yaad ayi na...×2 1. Kya kahun usne hai kis tarha se tadpaya mjhe.. Eid ka chand falak par jo nazar aaya mujhe.. Us ghadi dil may mere..×2 Dard utha tha baba... Yaad ayi na tumhein..×2 2. Baba thi neend guzari hai yahan ro ro kar.. Mjhko eidi may mile askh jafa zakhme jigar.. Mainey har eid pe ye..×2...Nauha padha tha baba Yaad ayi na..×2 3. Ab to asghar bhi mera ghutniyon chalta hoga. Yaad kar kar mjhe jhoole may machalta hoga.. Mujhko sab yaad hai par..×2 zulm hai kaisa baba... Yaad ayi na tumhe...×2 4. Sunti hu dasht may akbar ki rachayi shaadi... Bhai qasim k bhi haato may lagi hai mehndi... Jab sakina ko wahan..×2 Negh diya tha baba... Yaad aayi na tumhe...×2 5. Baba qismat se muqaddar se gila kya karna.. Mere akbar ne bhula daala jo wada apna... Khat mera dasht may jab..×2 Aapne paya baba... 6. Jab nazar aate hain bacchon k ye khali hujre... Yaad phir auno-mohd ki satati hai mjhe... Sab ki yaadon ne mjhe..×2 Khoon rulaya baba... 7. Kaise farhan ye mazhar ye masaib likhe... Fatima sughra k ehsas qalam band kiye... Kaun abh aake mjhe...×2 Dega dilasa baba... Yaad ayi na tumhe fatima sughra baba....