لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas

Farhan (ALI WARIS)2009
ShiaNohaLyrics
Abbas Jab dasht se hussain ko ghazi ne di sada Dunya se kuchh karta hun ab yaa shahe huda Ye sunte hi hussain pe kohe alam gira Are thaami kamar ik haath se ik haath dil pe tha Hasrat se suwe zainabe muztar nigaah ki ( Phir dekha Sakina ko tarapkar ye aah ki ) x2 Abbas Abbas Abbas 1. Yaad aaraha he mujhko Kehte the baba haider Ek roz chheen lenge Ada behan ki chadar ( Chadar rahegi tabtak ) x2 Jab tak rahega sar par Abbas (Alan in kasara zahri ) 2. Akbar ko sath lekar Phir dasht ko sidhare Thame huwe kaleja Ranjo alam ke mare (Jab ran mein khayi thokar ) x2 Sheh dard se pukare Abbas (Alan in kasara zahri ) 3. Nagaah sheh ne paya Ek bazue baradar Ya eliya pukare Chuma use uthakar ( Faryad gham se aayi ) x2 Be saakhta labon par Abbas (Alan in kasara zahri ) 4. Do gaam hi chale the Phir who maqam aya Jab doosra bhi baazu Bhayi ka sheh ne paya ( Lasha yahi (n) kahi (n) he) x2 Bazu ne ye bataya Abbas (Alan in kasara zahri ) 5. Ye kehte jaarahe the Awaz to sunao Kis jaa parhe ho zakhmi Tumhi hame batawo ( Ghurbat me bekasi mein ) x2 Yu(n) chhor ke na jawo Abbas (Alan in kasara zahri ) 6. Al muqtasir ke pohoncha Bhayi ke paas bhayi zanu pe sar ko rakha Di roke ye duhayi (Hum bhi nahin rahenge ) x2 Di tum ne gar judayi Abbas (Alan in kasara zahri ) 7. Maula pukare rokar Rukhsat ki ye ghari he Ek teer aankh me he Zakhmi jabee (n) teri he ( Bhayi mujhe pukaro ) x2 Hasrat ye aakhri he Abbas (Alan in kasara zahri ) 8. Mazhar ye baat sun kar Wo bawafa pukara Khaime me le najaana Lasha kahi (n) hamaara Aka se ki wasiyyat Aur khuld ko sidhara Abbas (Alan in kasara zahri )