لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chalo rone waalo

Farhan (ALI WARIS)2009
ShiaNohaLyrics
Chalo rone waalo Din ye qismat ne tumko dikhaya he aaj Aasuon se ye daaman bhigone chalo Jinke ghurbat pe rote rahe umr bhar Unke roze pe ab unko rone chalo ( Chalo sham chalein ) x2 Chalo sham chalein ( Pursadaaro ( n) aawo bibi ne bulaya he) x2 Chalo sham chalein 1. Pursa unko aansuon se denge unke bhayi ka Shaame ghurbat ke andhero (n) ka kabhi tanhayi ka Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 2. Pursa denge be saron ka matami zanjeer se Pursadari ka ye moka milgaya taqdeer se Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 3. Faisla he apne haq mein katibe taqdeer ka Bibi ke roze pe chehlum hum karein shabbir ka Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 4. Jinko who bibi na royi gardishe aalaam me Matame auno Muhammad barpa karne sham me Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 5. Tees ghanto (n) mein jahaa (n) se guzri aale Mustafa Pursa dena dekh kar manzar usi bazaar ka Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 6. Khutba zainab ne diya tha jis jagah par momino Dekhne apni nigaaho (n) se usi darbaar ko Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 7. Rote rote jaanibe di thi Sakina ne jahaan Zakhme dil bhar jaaye maa ka aise rona tum wahaa (n) Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 8. Is tarah bechadari ka bibi se bantenge gham Shaam jaa kar aurton ko chaadarein baantenge hum Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo 9. Jaane kab mera bulawa hoga mazhar abidi jab mere kaano (n) mein gunjegi sada farhan ki Chalo sham chalein Pursaadaro ( n) aawo bibi ne bulaya he Pursaadaro (n) aawo