لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaise rehti ho bibi yahaa(n)

Farhan (ALI WARIS)2009
ShiaNohaLyrics
Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye jab mein bibi Sakina ke roze pe tha Dekh kar unke roze ko dil ne kaha Kal ye roza hi bibi ka zindaan tha Dekha roza to maazi me mein khogaya Saamne mere zindaan tha sham ka Us ghari mere lab par fughaa ( n) aagayi Roshni ka safar bhi nahi (n) Aur hawa ka guzar bhi nahi (n) Kis qadr hafz he al amaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaan Haye haaye 1. Tum ko yaade padar sone deti nahi (n) Aur uspe sitam he ye khaufe la-in Zabte gham eik azaar he Saans lena bhi dushwaar he Tum to tum qaid le sisikiya Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 2. Zakhm khaati ho aur ashk peeti ho tum Mujhko hairat he kis tarha jeeti ho tum Taziyaane dawa ban gaye Ya andhere shifa ban gaye Qaid me aisa mumkin kahaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 3. Meri bibi mujassam fughaa (n) hogayi Kya khata thi ke qaidi yahaa (n) hogayi Kam sini mein yateemi mili Ghar se nikli aseeri mili Sun raha hun ye kehti he maa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 4. Fitrati saair baatein mujhe hei (n) khabar Qaid mein qaidi ko yaad aata he ghar Phul banke chaman me rahi Kitne nazo (n) se ghar mei (n) pali Ab ye gham ye sitam sakhtiyaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 5. Sham ki aurto (n) se suna he yahi Tum jo roti ho sota nahi (n) he shaqi Maarta he who sajjad ko Seh ke sajjad uftaad ko Karte rehte hein bas ye fughaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 6. Dil pe kohe garaa (n) ek ehsaas he Chhote bachhe to darte hei (n) tanhaayi se Har ghari pehradaaro (n) ka dar Saath koi nahi (n) nawha gar Na padar na chacha aur na maa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 7. Tum jo ehle haram se juda qaid ho Phir to haq he tumhara ke nawha karo Haye qismat ye na hosaka Hukm zalim se tujhko mila Nawha khaani pe pabandiyaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 8. Aayi kaanon mein ye qaidiyo (n) ki fughaa (n) Roke kehti hei (n) zindaa (n) mei (n) kuchh bibiyaa (n) Hum ye keh keh ke matam karein Is yateema ko zindaan mei (n) Pursa deti he tanhaiyaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 9. Phir tasalsul tasawwur ka toota mera Mir arshe nazar roza bibi ka tha Haath masroof matam huwe Ashk ankho (n) se girne lage Phir bhi hoto (n) pe thi ye fughaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye 10. Lafz mazhar ke ehsaas farhaan ka Woh ye kehta he bibi se meine kaha Meine ye kehke matam kiya Jin la- inon ne ki thi jafa Un ke aulad ke darmiyaa (n) Kaise rehti ho bibi yahaa ( n) Haye haye