لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maa(n)

Farhan (ALI WARIS)2009
ShiaNohaLyrics
Maa ( n) Haaye , Ghore se jab zameen par Aye shahe zaman Dekha ke ban me fatema zehra he mojizan Are balon se jharti he zamee (n) qatlagah ki Madar ko dekha aur ye maula ne aah ki ( Maa ) x2 dekh meine ( sab luta diya ) x3 Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya )  x2 1. Sehra ko apne khun se meine basa diya Jo karsaka na koi woh karke dikha diya Lashon se meine dashte bayabaa (n) sajadiya Bachpan mein who jo wada kiya tha nibhadiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 2. Khaak aur khoo (n) mein jalta badan dekhle mera Barbaad ho chuka he chaman dekhle mera Kaante pare huwe hein dahan dekhle mera Dil muztarib he aisa ke jaise bhujadiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 3. Who dekho hum shabihe payambar ki laash ko Tukre pare hein qasime muztar ke dekhlo Asghar ki qabr dashte bayabaa (n) mein dekhlo Zainab ke laadlo (n) ko bhi ban me suladiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 4. Ghore se jab zameen pe aya jawaan pisar Mein ban me aya thokre khata bachashme tar Barchi ka phal jo khencha to tukre huwa jigar Is gham ne jeeteji mujhe lasha bana diya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 5. Aisa huwa shaheed who qasim sa nek naam Tukron mein bat ke rehgaya us ka badan tamam Qasim ki maa ke azm ko meine kiya salam Marne ke waste use dulha banadiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 6. Teere sitam tha ek magar zakhmi kargaya Asghar ka halq maa ka kaleja jigar mera Asghar ko leke khaime me wapis na ja saka Is karbala ki god mein usko chhupa diya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 7. Qurban mujhpe hogaye zainab ke ladle Meri nazar mein yeh bhi to Akbar se kam ne the Laashe utha ke dono ke laaya jo dasht se Zainab ki khamshi ne ye nauha suna diya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 8. Amma tere hussain ka woh pehla jaanisaar Jo fitratan bhi hur tha huwa akse aashkar Ghazi ki tarha hur ke liye mein hun sogwaar Hur jaise bawafaa ko bhi meine gawadiya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 9. Amma gayi he furqate abbas tor kar Zainab ki aas pyason ka dil aur meri kamar Lipti alam se baali Sakina he nawhagar Bhai ke gham ne mujhko yahi marsiya diya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 10. Apne pisar ke khu (n) se wuzu kar chukka husain Laasho (n) se karbala ki zamee (n) bhar chukka husain Subha se kitni baar yaha (n) marchuka hussain Aaghosh mein sulade ghamo (n) ne thaka diya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2 11. Kya mazhar abidi likhe farhan kya pare He kisme itni taap ke maqtal bayan kare Awaaz ab bhi ati he dashte kitaal se Is Karbala ko arshe mualla bana diya Maa dekh meine sab luta diya Maa dekh meine ( sab luta diya ) x2