لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar ka laasha

Farhan (ALI WARIS)2010
ShiaNohaLyrics
Akbar ka lasha dekhke khud mar gae hussain zalim toh bus hussain pe khanjar chalaaega 1. Atthara saal wale ka lasha utha liya aisa laga ke apna janaza utha lia akbar ke khun se ban me wuzu kar gae hussain 2. Barchi ka phal yeh kaisa rago me ulaj gaya barchi nikalne pe kaleja bhi kat gaya sakhtey me aa gaye isi dard se hussain 3. Laila ki hasrato ka janaza nikal gaya sugra ki khwahisho ka akbar ne barchi khayi magar mar gae hussain 4. Tu kya gaya ke meri basarat chali gai tere hi sath jeene ki chahat chali gayi beta dhadakna bhul gaya hai dile hussain 5. Khaime ke dar pe pahuche toh awaaz di yahi zainab uthalo aakar meri laash hai padi akbar ke saath katl waha ho gaye hussain 6. Akbar ka gum uthakar mera haal hai yahi mai toh bus ek badan hu meri jaa nikal gayi raftaar dekho lafz ki bejaan hai hussain 7. Bhai ka haal dekha to zainab tadap gayi bete ke ghum me haalat hui kya hussain khune pisar me kis tarah galta hue hussain 8. Farhan ho ke mazhar bayaan kya kare koi maa ne pisar ke lashe pe faryaad ki yahi ai laal saath tere jahaa se gaye hussain