لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kehti thi maa

Farhan (ALI WARIS)2010
ShiaNohaLyrics
Haaye haaye haaye haaye Barsa falak se khoon larazne lagi zameen aandhi siyaah dashte bayabaan me chali yeh waqt bhi qayamate kubra se kam nahi jalti zameen pe aakhri sajde me hai jabeen baali pe maa hussain ki aur pusht pe laeen kehti thi maa theher zara shimr theher jaa do bund mere bacche ko pani toh pilaa de 1. Sunkar duhai fatahe badro honain se yeh rashk gunjta hai mere shoro shain se akbar ko katl kar ke bhi baithe na chain se kya dushmani hai tumko mere dilke chain se kya bugz tumko ho gaya mere hussain se 2. Subh e dahan se laash uthata raha yaha roya hai is ghareeb ki ghurbat pe aasmaa bacche shaheed ho gaye maare gaye jawaa haatho pe iske qatl hua ek bezabaa ab iske khoo ke pyase hue khanjaro sina 3. Aaya jo katl gaah me yeh zulm ka aseer pursaane haal tha na koi aur na dastgeer patthar kisine maare kisine sina o teer naiza kisine maara chalaaye kisine teer yeh zulm dekha rone laga khuld ka ameer 4. Ghash khake jo ghode pe jhuka mera dilafgaar khun rone laga aur sare mazlum pe talwaar sar thaamke haatho se jo seena hua ek baar barchi kisi laeen ke seene se hui waar tar ho gaya lahu se badan dil hua figaar 5. Teeron ki nazr chand sa seena jo ho gaya in zalimon ne seene ko teero se bhar dia zeen se zami pe aane laga jab pisar mera aaya nai zameen pe teero pe ruk gaya is zulm pe bhi reham na aaya tujhe zara 6. Ae sang dil khuda ka payambar ka khauf kar kassab bhi zabiho ko zibha se thehar kar itna toh pani dete hai ho jaae halq tar zakhmon se chur chur hai pyaasa mera pisar khanjar chalega kis tarah pyaase ke halq par 7. Zainab hai ek ret ke tile pe nauha gar manzar yeh dekhti hai sambhale hue jigar ankho me ashk lab pe buka aur barehna sar mar jaaegi woh khwaahare mazlum dekhkar tan se juda na kijiyo us waqt sheh ka sar 8. Tadpe zamee pe khaak udate hue haider aaye khadija aur payambar bhi nauhagar saidaaniyon me bain dare khaima pe dukhtar nazdeek tha woh waqt ke kat jaaye sheh ka sar zahra ne gala rakh diya bete ke gale par 9. Mazhar kaha se mai woh takate bayaan mai likh saku shahadate mazloom ab yaha hamraah mere rote hai yeh saaton aasmaan farhan nahi nahi yeh kalam bhi hai nauhagaa bete ko qatl hote hue dekhti thi maa Haaye haaye haaye haaye haaye...