لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Ali Aapki Sarkar

Farhan (ALI WARIS)2010
ShiaNohaLyrics
Ali Ali Ali Sarkar ya Ali Teri sarkar ya Ali Chaak kar parda-e-ghaibat To hum dekh len Ya Ali tere waris Ka bharam dekh len Jiske aane se badal jaayga ye jahaan Inheen aankhon se wohi Naqshe qadam dekh to Len Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar Hai dua lab pe ye har bar YA Ali apki sarkar Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar Ya Ali hum tere waris ka bharam dekh to Len Uske haathon main bhi ghazi ka alam dekh to Len Inheen aankhon se wohi naqshe qadam dekh to len Ye dua pihr se ho ik bar Ya Ali apki sarkar Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar Aisi sarkar jahan charon taraf piyar mile Aisi sarkar jahan zulm se takrar mile Aisi sarkar jahan sirf azadar milen Is tasawur ka hai izhaar Ya Ali apki sarkar Chahte hain ye azadar Ya Ali apki sarkar Aisa mahool jahan maut ke bazar na Hon Gali koochon main jahan khuafke aasar na Hon Aisa mahool jahan log sitamgaar na Hon In umeedon ka hai shahkar Ya Ali apki sarkar Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar Tera waris jo banade wohi kanoon chale Jo ho insaaf ke taalib unhen insaaf mile Qomi parcham ki jaga parcham e Abbas mile In khayalat ki memaar YA Ali apki sarkar Chahte hain ye azadar ya Ali apki sarkar Gham sehte sehte thak Gaye Qarar chahiye Ab zulm ke sar par Teri talwaar chahiye Is khuaf ke mahol se Tang aa chuke hain hum Aye waris-e-Haider Teri sarkar chahiye Sarkar chahiye Teri sarkar chahiye Aye waris-e-Haider teri sarkar chahiye Waris-e-taighe Ali a.s Ab zaroorat hai Teri Leke ab izn-e-khuda Pardaye ghaib utha Hai muhibon ki sada Ab hukomat ho teri Sarkar chahiye Teri sarkar chahiye Aye waris-e-Haider teri sarkar chahiye Badal tera duldul hai Masheeat teri tameel Kaaba tera mimber hai Sahaif teri tarteel Esa tera Salman hai Qambar tera jibreel Haajib tera ilyaas Sipahi tera hizqeel Han Mehdi-e-haq dehr main Kehte hain usi ko Haq cheen ke zalim se Jo de bint-e-nabi ko Sarkar chahiye Teri sarkar chahiye Aye waris-e-Haider teri sarkar chahiye Wo waqt tu hi laayga Qibla kabhi ho kaaba Kabhi roza-e-Hussain a.s Hussain a.s Tapoosh-e-Murtaza ke ewaz Hum na Len kabhi Humko agr hukoomat-e-Arzo saman mile Minnat karen malang to na jaayen Bahisht main rehne ke wasite Jo humen karbala mile Jahan ghar bar luta Khanjar-e-zulm chala Haye Zehra ka pisar Jahan paamal hua Usi maqtal main humen Kaash mill jaye jagga Ho hamari bhi lehad bar sare karbo bala Hai ye mazhar KI sada Mango farhan dua Raat din sunte rahen Waa Hussaina ki sada Hussain Hussain Hussain.