لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zinda rakhenge hum Karbala

Farhan (ALI WARIS)2010
ShiaNohaLyrics
haider ke hami - zinda hai shabbar ke hami - zinda hai shabbir ke hami - zinda hai abbas ke hami - zinda hai sajjad ke hami - zinda hai akbar ke hami - zinda hai asghar ke hami - zinda hai qasim ke hami - zinda hai Tujse wada hai ye (shahe karbobala) -2 zinda rakhenge hum karbala - ya husain karbala karbala karbala - ya husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain apni aawaz me, apne andaaz me apne anjaam me, apne aghaaz me hum sadaa.. Husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain karbala karbala karbala - ya husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain 1. Apni naslo ko paigham de hum yahi matame shahe dee (qarz hai har ghadi) - 2 maqsade karbala aam karte raho waqf kardo ghame (shaah me zindagi) - 2 apne paighaam me, apne ehkaam me apne aaraam me, apne har kaam me hum sadaa.. Husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain karbala karbala karbala - ya husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain 2. Surato me takaza ye karta rahe tum raho na raho (haq to zinda rahe) - 2 saans ruk jae kat jae chahe zaba khoon behta rahe (aur ye kehta rahe) - 2 apne tatheer me, apni tafseer me apni tehreer me, apni taqreer me hum sadaa.. Husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain karbala karbala karbala - ya husain zinda rakhenge hum karbala - ya husain 3. Maa ne gutthi me humko pilaya hai kya karbala karbala (karbala karbala) - 2 bolna yu sikhaya ke bolo zara karbala karbala (karbala karbala) - 2 apne azhaan me, apne wehdan me apne eeman me , apne ailaan me 4. zuljanah ho amari alam taziya ye alaamat hai (mit na jae kahi) - 2 mannati hathkadi aur kalawe jo hai saari duniya me ye (apni pehchaan hai) - 2 apni akaar me, apni guftaar me apne eesaar me, apne qirdaar me 5. Nauha khwani ka mansab mila hai jise uspe wajib hua (bus ye paigham de) - 2 tere lehje me haadi ki darkaar ho aur chehre pe ho (karb sajjad ke) - 2 apni faryaad me, apni uftaad me apni har yaad me, apne aulaad me 6. sabke laasho pe shabbir rote rahe laashe shabbir par (koi ro na saka) - 2 ye sitam dekh kar boli sajjad se binte khaiber shikan, (saniye sayyada) - 2 apne ailaan me, ghum ke aiwaan me ghum ke toofan me, jaake zindaan me 7. Jab aseerane ghum shaam jaane lage chashme sajjad se (ashk behne lage) - 2 bekafan baap ki laash par gir pade mera wada hai ye (roke kehne lage)- 2 apne aazaar me, rahe purkhaar me jaake bazaar me, aur darbaar me 8. Kamsino ki judai me asghar ka ghum aur jawano ke ghum me (ho akbar ka ghum)- 2 baap se koi beti bichad jae gar hum manaenge (bali sakina ka ghum) - 2 apne pyaro ka ghum, bhool jaenge hum har jagah har qadam, maula teri qasam 9. jo qalam aur awaaz par qarz hai qarz wo ho adaa (al madad sayyada) - 2 kaam farhan o mazhar ye karte rahe qarya qarya sada (al madad sayyada) - 2 maqsade karbala, chhup nahi paega tujhse wada raha, jaan karke fida ya husain... yaa... husain