لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas tere jaane ke baad

Farhan (ALI WARIS)2011
ShiaNohaLyrics
Haaye Qafela dasht e bala se jo sue shaam chala laash e abbas e alamdar pe zainab ne kaha abbas, abbas Chin gai sar se rida, koi baaqi na raha abbas tere jane ke baad..(5) 1. Tane deta hai mujhe dekh ke yu shimr laee teri awaaz pe abbas tera aata nahi ban gai farshe azaa tere liye ab ye zamee shaam jana hi pada, ye sitam tujh pe hua abbas tere jane ke baad..(3) 2. Roke kulsoom teri yaad me karti hai buka teri haibat se kabhi soye nahi ehle jafa kaisi badli ye tere baad zamane ki hawa khush hue ehle sitam, so nahi paaye jo hum abbas tere jane ke baad..(3) 3. Raah me aale payambar ka dilasa mai bani shaam ke log tamashai tamasha mai bani zakhm sadaat ne paye to maseeha mai bani mai hi salaar bani mai alamdaar bani abbas tere jane ke baad..(3) 4. Haaye darbar me aulad e nabi aa pohchi aur sakina ko kanizi me bulata hai shaki kisse faryad karu tu hi bata mere akhi aur kya hoga sitam kitne lachaar hai hum abbas tere jane ke baad..(3) 5. Naam lekar jo sitamgar ne bulaya mujhko amma fizza ne pase pusht chupaya mujhko yu bhi pardes me ada ne sataya mujhko aise aalam me bhala, kisko deti mai sada abbas tere jane ke baad..(3) 6. Hind zindaan me aai to ye kohraam utha meri barbadi ka jab hind ne ehwaal suna apna sar peet ke wo karne lagi wa waila dekh kaisa hai sitam, qaid hai ehle haram abbas tere jane ke baad..(3) 7. Tauqo zanjeer se sajjad jo azaad hue qabr pe bali sakina ke gaye rote hue rukh sue karbobala karke yahi bain kiye seh nahi payi sitam, dukhtare shahe umam abbas tere jane ke baad..(3) 8. Shaam se mazhar o farhan rihai jo mili aaye maqtal me salami ke liye sab qaidi ghutniyo chalte hue bhai ke marqad pe gai the ye zainab ke sukhan, mar gai kyu na bahen abbas tere jane ke baad..(3)