لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nau lakh ka rela

Farhan (ALI WARIS)2011
ShiaNohaLyrics
Kitna ghareeb hogaya hussain... Asghar ko dafn kar chuka jab fatema ka laal tanhai apni dekh kar kehta tha pur malaal amma..... nau laakh ka raila amma mai akela kitna ghareeb hogaya hussain 1. beenayi ja chuki hai jigar paash paash hai is haal may bhi laashe pisar ki talaash hai..(2) akbar ka hai laasha.. amma mai akela kitna ghareeb... 2. Amma ye aafate ye masaib ye tashnagi ghurbat may saath chor gaye hai mera sabhi..(2) zakhmo ki ye dunya.. amma mai akela kitna ghareeb... 3. Na fauj reh gayi na alamdar reh gaya bas reh gaya to tera dilafgaar reh gaya..(2) hai zulm ka sehra.. amma mai akela kitna ghareeb... 4. Waade sabhi nibha ke hua aise surkh roo balo'n may khaak chehre pe baysheer ka lahoo..(2) haatho'n pe janaza.. amma mai akela kitna ghareeb... 5. Daulat rabab ki sare maqtal chupayi hai apne zaeef haatho se turbat banayi hai..(2) karta raha noha.. amma mai akela kitna ghareeb... 6. Bachpan may kitne naaz uthaye hai yaad hai ek pal bhi khud se door na karti thi tu mujhe..(2) ye waqt hai kaisa.. amma mai akela kitna ghareeb... 7. Awaaz e isteghasa sunay kaun ab yahan abbas hai na qasim o akbar na bezabaa'n..(2) ab kaun hai mera.. amma mai akela kitna ghareeb... 8. Jis phool se badan pe kabhi dhoop na padhi teero'n ne chaan daala hai amma badan wohi..(2) marham na dilasa.. amma mai akela kitna ghareeb... 9. Ek daur tha ke ghar se agar mai kahin gaya saaye ki tarha saath may rehte the aqraba..(2) ek ye hai zamana.. amma mai akela kitna ghareeb... 10. Ye barchiyo ki naizo ki dunya hai aur mai tanhai fauje shaam ka nargha hai aur mai..(2) de mujhko dilaasa.. amma mai akela kitna ghareeb... 11. Zakhmo se choor choor badan qalb aur jigar faryaad hai labo'n pe qaba hai lahoo may tar..(2) chalni hai kaleja.. amma mai akela kitna ghareeb... 12. 'Farhan' us ghareeb ki lachaar ki buka ha 'mazhar abidi' ka qalam likh nahi saka..(2) hai bas ye khulasa.. amma mai akela kitna ghareeb...