لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye Haye ye safar Zainab ka

Farhan (ALI WARIS)2014
ShiaNohaLyrics
Haey haey yeh safar zainbab(s.a.) Ka haey haey yeh safar zainbab(s.a.) Ka Na mehmil hai na chadar aur sham ka yeh bazaray haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaaray Naa paak nigaho'n say gar mujh ko bachana hai qur'aan meray bhai(a.s.) Naizay peh sunana hai kis tarha chhupaaey khud ko is waqt behan laachaaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaaray Jo wa'ada kiya tujh say poora usay karna hai in shaam ki galiyo'n say bay pardah guzarna hai chadar ka muhafiz jo tha is baat peh maatam daar ay Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay Kis darjah museebat hai kis darjah pareshani barsaey koi pathhar, koi phainkay garm paani koi sadqah hum par phainkay, koi jaltay huway angaaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay Yeh aalam-e-majboori bas roti rahi zainab(s.a) ghazi(a.s.) Ki behan hokar kuch kar na saki zainab(s.a) zalim nay teri bachhi ko kai baar tama'nchay maaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay Yeh shami(l.a.) Humein paidal kaa'nto'n peh chalatay hain ghash khaa kay jo girjae'n durro'n say jagatay hain chhalay bhi yehi kehtay hain aur zakhm jigar kay saaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay Eik dard kalejay mein har waqt hi rehta hai ta'anay koi deta hai baaghi koi kehta hai bas itni duaa day bhai is waqt na himmat haaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay Hum mehw-e-tamasha hain qaidi hain barehnah sar eik baar nahi'n sar say no (9) baar chhini chaadar eik shakhs urhhaaey chaadar aur doosra aakay utaaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay Sajjad(a.s.) Ki laachari dekhi nahi'n jaati hai jo us ko aziyyat hai zanjeer batati hai sajjad(a.s.) Ki in aankho'n say behtay hain lahoo kay dhhaaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay "farhan" ki "mazhar" ki aankho'n mein woh manzar hai doraan-e-safar noha bibi(s.a.) Kay labo'n par hai aey bhai teri furqat nai jeetay ji mujhay jo maaray Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay