لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye zindaan tera watan

Farhan (ALI WARIS)2014
ShiaNohaLyrics
Meri mazloom behna Sakina Meri masoom behna Sakina Bole Sajjad laasha uthakar Sakina..x2 (Haye zindaan tera watan ban gaya Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya)..(2) 1. Kya karu qaidkhana hai yeh ghar nahi Ghusl dene ko pani mayassar nahi Aur dafnau kaise ke chadar nahi Bekasi aur ghurbat me aye ghamzada Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan…. Khoo'n bhara…. 2. Jab tu royi  tamacho ki khayi saza Baliyan chhin gayi aur daman jala Aur kaano ke khoo'n se hain kurta bhara Haye tujhko kafan bhi nahi mil saka Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan…. Khoo'n bhara… 3. Tu andhero'n se darti rahi meri jaa'n Baakhte gham me roti rahi meri jaa'n Ghar chalo maa se kehti rahi meri jaa'n Tera armaan pura nahi ho saka Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan… Khoo'n bhara… 4. Aisi bichdi ke fir baap se na mili Chhut ke baba se zindaa'n ki qaidi bani Haye yeh baat Sajjad ko kha gayi Haye teeron se unka kafan ban gaya Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan… Khoo'n bhara… 5. Tujhko zindaa'n me baba ka sar jo mila Tune baba ke muh par jo muh ko rakha Itna royi ke zindaa'n larazne laga Rote rote hi ayi hai tujhko qaza Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan…. Khoo'n bhara… 6. Kamsini me sitam tune kitne sahe Char saala yateema main sadqe tere Baade Ashur soyi nahi chayn se Chayn marke bhi tujhko nahi mil saka Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan … Khoo'n bhara… 7. Haye Farhan o Mazhar ajab waqt tha Us yateema ka jis dam janaza utha Bibiyon me bapa ek kohraam tha Sabne qabre Sakina pe nauha kiya Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya Sakina…x2