لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala ki kahani

Farhan (ALI WARIS)2015
ShiaNohaLyrics
Hussain hussain * 8 Aao Ae Ahle Jahan Aao AE Tiflo Jawan Me sunata Hu tumhe Ek Pyase Ki Kahani Mohammad Ke Nawase Ki Kahani Yani karbala Ki Kahani Rone Walo Suno PursaDaro Suno *2  Soghwaro SUno Maatamdaro Suno Ek Halke Me AAjao Maatamkare Farz Jo HAi Lahoo Par Ada Hum Kare Ghar Mohammad Ka Kis Tarah Luta Gaya Bas isi Gham Me Karna Hai Maatam Bapa Aane Wali Har EK Nasl BAyn Kare Saari Dunia Hussain Hussain kare * 2 Mere Kamsin Hussainio Karbala Ki Kahani Suno *3 Is Kahani Me Zehra s.a Ka Ghar Bhaar HAi Inka Beta Jo Jannat Ka sardar Hai Markazi Is Kahani Ka Kirdar Hai Uska Ek Bhai Hai jO (alamdar Hai) *2 Tum Tasavvur Me Maqtal Chalo Karbala Ki Kahani Suno *4 Nusrate Haq Ki khatir Woh Ghar Se Chala 2 Moharram Ko Pahoche The KArbobala Maao Behno KA Baccho KA Bhi saath Tha 7th vi Se Musafir Ko (pyasa rakha)*2 is Musibat ka maatam Karo Karbala Ki Kahani Suno *3 Subh Ashur Kaisi Ibadat Hui Teer Chalte Rahe Aur Jamaat HUi Ek Ek Karke Sabki shahadat Hui Asr Ka waqt Aaya (Qayamat Hui) * 2 Apne haathon Se Dil Thamlo Karbala Ki Kahani Suno *3 Us Taraf Laakhon Aur the Bahatthar Idhar Kat gaye Banme Tiflo Jawan Sab ke Sar Reh Gaya Ban Me Tanha Ali Ka Pisar Di Sada Sheh Ne halmin Ki BaChashme Tar * 2 Halmin Nasirin Yansurana Aur Fir FArzande Zehra S.a Akele Hogaye Na Akbar Hai Na Kasim Hai Na Abbas hai Na Auno Mohammad hai Na Koi Nisar Baaki Raha Maqtal Me Imam Hussain a.s Sada De Rahe The Halmin Nasirin Yansurana Koi Hai Jo Meri nusrat Ke Liye Aye Sunke Isteghasae Shahe Karbala Hussain Wo jo Ek Bhai Sheh ka alamdar Tha Abbas Uska Sahil Pe Laasha Tadapne Laga Haay Hussain Sheh Ne HAsrat Se Charo TAraf Ki Nazar Haye Hussain Koi Bhi To Nahi Tha Waha Haye Hussain Al garaz Sheh ne Lashkar Pe Hamla Kiya Hussain hussain Aur Rajaz Ye Pada Jang Ab Uski Dekho Zara Shamiyon Jiska Koi NA Baaki Raha Shamiyon Jiske Qasim Ko Tukde kiya Shamiyon Hue Auno Mohammad Juda Shamiyon Jiska Ansar ek Na Raha Shamiyon Jiska Abbas jaisa Baradar Gaya Jiske Akbar Ke Sine Me Naiza Laga Bezaban Bhi Gaya Aur Kuch Der Me Surkh Darya Ka Pani Hua Aur Fir haatife Gaybi ki  Aayi Sada * 2 Ya Ayyatohan Nafsul Mutmainnna Irjaee Ela rabbeke raziyatam Marziyaa jab Imam Hussain a.s Ne sada Suna To Fir Apni Talwar Ko Myan Me Rakh Diya aur fir ek sada ko baland kiya Aao Ae teero aao Ae Talwaro Aao Ae Pattharo Mujh Pe Aao Barso Bas maula ki sada baland hui Kahi Se Teer Chale Kahi Se Talware Chali kahi Se Patthar Barse Aur Mere Maula hussain Lahoo Luhan Ho Gaye Laakhon ke Lashkar Aise Bhi LOg The Jiske Haath Me Jiske Haath me Jo Chiz AAyi Usne Imam Hussain a.s Par Barsana Shuru Kiya Tanha Hogaya Fatema s.a KA Laal * 2 Chur Zakhmo Se Zehra s.a Ka Lakhte Jigar Haye Hussain a.s Gir Gaya Pushte Rehwaar Se Khak Par Andhiyan  Surkh Chalne Lagi Aur Zameen Khun Ugalne Lagi Khund Khanjar Chala Halke Shabbir Par Ek Tille Pe Zainab Ne ROkar Kaha Haye Hussaina *3 Karbala Ki Kahani Suno *3 Baade Qatle Shahe Din Jafa Yu Hui Hogaye Ban Me paamal Laashe sabhi Sir Sina par Gaye Lash ban me rahi Ban Me Nakkahare bajne Lage Us Ghadi * 2 is Masaeb Pe Girya karo Karbala Ki Kahani Suno*4 Din Dhal Gaya Aur Sham Aagayi * 2 Aagaye Lutne Bibiyon ko shaki Saare Khaime Jale Sabki Chadar Chini tapta Sehra tha * 2 bas aur ale nabi aur pehre pe binte ali aagayi rote rote ye shab kati sadaat ne subh hote hi sadaat qaidi bane ek rasan zulm ki aur 12 gale tauk zanjeer me maula sajjad a.s the janibe sham ahle haram jab chale ek ek lash be sar pe rote hue Bain Zainab ke the lashe Shabbir pe Janib e Sham jate hain ham sar khule Meri hasrat hain matam tera na ruke Aur Mazhar tera yeh masaeb likhe Tera Farhan tere masaeb padhe Sari duniya teri yeh kahani sune Anewali har ek nasl bain kare Sari duniya Hussain Hussain kare.....x2 Kitna taweel hain Hussain ka safar Ek nasl khatam hoti hain dusri tayyar khadi  hain Socho to aql hairan hain Ek shakhs kayi sadiyon baad bhi dilon par hukmarani kar raha hain Yeh thi Karbala ki kahani Yeh thi pyaase ki kahani Mohammed ke nawase ki kahani