لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khaymon me sirf hoga

Farhan (ALI WARIS)2015
ShiaNohaLyrics
Allahu Akbar....x2 Subhe Aashur bade azan Karbala kar rahi hain fuga....x2 Khaymon me sirf hoga dhua aaj shaam tak...x2 Thak jayegi yeh umr rawa aaj shaam tak Kaisi saji hain bargahe shere zuljanah Akbar sa naujawan koi Qasim sa khushjamal Abbas sar se taba kadam haideri halal Dekhe suwe khayam kisi ki nahi majal Lekin koi jeeyega kaha aaj shaam tak Khaymon me sirf....x2 Bacchon me keh rahi hain Sakina khushi khushi Do ab pahar ki baat hain apni yeh tishnagi Bhai hain lashkaron pe har ek farde hashmi Qayam rahe khuda mere ammu ki zindagi Ho jayege watan ko rawa aaj shaam tak Khaymon me sirf....x2 Rakkhe namaz padhke musalle lapetkar Lo ehle shar ke saamne ja pohoncha purjigar Lagta nahi hain seesgi hain aakhri sahar Yeh josh yeh kharoch yeh ronak to hain magar Har samt hogi aaho fuga aaj shaam tak Khaymon me sirf...x2 Akbar khade hain ulte huwe apni aasti Din dhal raha hain chupne lage hain rukhe haseen Zainab ko ho chuka hain aseeri ka ab yakeen Lo waqte asr aa gaya Shabbir bhi nahi Badlega baar baar sama aaj shaam tak Khaymon me sirf....x2 Ashabo akraba me na baki koi raha Khayme me aaye rote huwe  Shahe Karbala Bosa gale pa bhai ki Zainab ne jab liya Bazu behan ka chum ke Shabbir ne kaha Honge yaha Honge yaha rasan ke nishaan aaj shaam tak Khaymon me sirf....x2 Gash me pade hain Aabid e bemar farsh par Teemar daar daud rahe hain idhar udhar Khona hain kya Dabeer me kisiko nahi khabar Aada uthayege inhe Aada uthayege inhe bistar ghasitkar Gardan me hoga tauk gara aaj shaam tak Khaymon me sirf...x2