لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Meri mazlum behna sakina

Farhan (ALI WARIS)2015
ShiaNohaLyrics
Meri mazlum behna Sakina Meri masum behna Sakina Bole Sajjad lasha uthakar Sakina..x2 (Haye zindan tera watan ban gaya Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya)x2 Kya karu qaidkhana hain yeh ghar nahi Ghusl dene ko pani mayassar nahi Aur dafnaoo kaise ke chadar nahi Bekasi aur gurbat me aye gamzada Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan.... Khoon bhara.... Jab tu royi  tamacho ki khayi saza Baliyan chin gayi aur daman jala Aur kya ro ke khoon se hain kurta bhara Haye tujhko kafan bhi nahi mil saka Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan.... Khoon bhara... Tu andheron se darti rahi meri jaan Baakhte gam me roti rahi meri jaan Ghar chalo aus kehti rahi meri jaan Tera armaan pura nahi ho saka Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan... Khoon bhara... Aisi bichdi ke fir baap se na mili Chut ke baba se zindaan ki qaidi bani Haye yeh baat Sajjad ko kha gayi Haye teeron se unka kafan ban gaya Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan... Khoon bhara... Tujhko zindaan me baba ka sar jo mila Tune baba ke muh par jo muh ko rakha Itna royi ki zindaan larazne laga Rote rote hi ayi hain tujhko qaza Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan.... Khoon bhara... Kamsini me sitam tune kitne sahe Char sala yateema main sadqe tere Bade Ashur soyi nahi chain se Chain milke bhi tujhko nahi mil saka Khoon bhara tera kurta kafan ban gaya Haye zindaan ... Khoon bhara... Haye Farhan o Mazhar ajab waqt tha Us yateema ka jis dam janaza utha Bibiyon me bapa ek kohraam tha Sabne sabre Sakina pe nauha kiya Sakina...x2