لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sajjad ki is waqt

Farhan (ALI WARIS)2015
ShiaNohaLyrics
Haye Sajjad haye haye Shaam....x2 Sajjad ki is waqt qayamat ki ghadi hain Zainab dayaare Shaam me sar nange khadi hain Sajjad ki aayi sada jaisa sitam yeh ho gaya Ya rab dayare gair me binte Ali hain berida Na mehramon ki bheed me Kaunain ki shahzadiyaan Is dard se rota hoon main qaidi bani saydaniyaan Ye dil sukoon na payega yeh gam mujhe kha jayega Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki ayi .... Ya rab dayaare ... Kaise saje hain bamodar kis zulm ki tajdeed hain Qaidi hhain aale Mustafa in Shaamiyon ki eid hain Kyu sakht ho dil par bhala Yeh dard hain sabse bada Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi.... Ya rab dayaare .... Sar Zainab o Kulsum ka aya use jis dam nazar Ek bawafa gayyur ka thehra nahi Naize pe Sar khaak par uska gira Karta hua bas yeh buka Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida D Sajjad ki aayi... Ya rab ddayaare.. Pani kabhi manga nahi tishna labon ke waste Chadar talab karta hu main in bibiyon ke waste Taarekhiyon me din chuka Aandhi chala aur khaak uda Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi... Ya rab dayaare.... Jinko chudaya qaid se meri phuphi me baariha Qaidi banakar laye hain woh log bhi yeh hain Jafa Kya waqt ham par aa gaya Ehsaan ka hain yeh sila Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi... Ya rab dayaare.... Ek dard ki barchi si hain is kalb me tuti huwi Ummat bhi hain yeh bewafa taqdeer bhi ruthi huwi Kaise kate ye faasla Ya de qaza ya hausla Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi.... Ya rab dayaare.... Farhan o Mazhar Abdi kya thi qayamat ki ghadi Ek maalike qadron kaza faryad karta tha yahi Mujh par sitam ab aur kkya Dhaaegi yeh ummat bhala Ya rab dayaare gair me binte Ali hain berida Sajjad ki aayi.... Ya rab dayaare....x2