لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas teri behno ko

Farhan (ALI WARIS)2016
ShiaNohaLyrics
Haye shaam, haye shaam..(2) Haye abbas, haye abbas..(3) Abbas teri behno ko, bazaar mein laaya jatah hai..(2) 1. Suraj ne khule sar jisko, ghar mein bhi kabhi na dekha afsos wahi shehzadi, balwe mein gai wawaila zainab ki yaha aamad par, darbaar sajaya jaata hai 2. Kis shaan se teri zainab, mehmil me chali thi ghar se aur aaj safar par nikli, to raah mein patthar barse be parda nabi zaadi ko, galiyo'n me phiraya jaata hai 3. Kya tujhse kahu ae ghazi, dekhe hai yaha ghum kaise raaho mein sakina teri, paani ke liye gar roye bache ko dikha kar paani, reti pe bahaya jaata hai 4. Be dard hai be ghairat hai, ye shaam ke rehne waale aankho'n pe pade hai parde, aur inki zaba'n par taale ye chup hai nabi zadi ko, balwe me bulaya jaata hai 5. Ek lamha nahi hai aisa, eeza na koi pohchaye thak kar wo kahi gar baithe, sajjad ko neend aa jaye haye haye zanjeer hilakar, qaidi ko jagaya jaata hai 6. Dohraya gaya maazi ko, hai zulm wohi aur ghum bhi ummat bhi wohi, chehre bhi, darbaar wohi aur hum bhi kal amma jaha'n aayi thi, ab mujhko bulaya jaata hai 7. Raaho mein kisi manzil par, deta jo hume koi chadar le jaate hai phir wo chadar, hakim ke sipahi aakar ek ghum me teri zainab ko, kai baar rulaya jaata hai 28. Barsaat kabhi durro ki, hoti hai kahi sangbaari ae bhai bata kyu na ho,jeene se mujhe bezaari sadaat ko in raaho mein, har gaam sataya jaata hai 9. Ye farsh e aza ye matam, zainab ka qarz hai humpar duniya se kahe fir kyu na, farhan aur mazhar rokar jo aale nabi par guzri, nauho mein sunaya jaata hai Haye shaam, haye shaam..(2)