لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Lashkar mein badi dhoom hai

Farhan (ALI WARIS)2016
ShiaNohaLyrics
Abbas..(3) kis sher ki aamad hai ke rann kaanp raha hai rann ek taraf, charkhe kohan kaanp raha hai rustam ka badan zere kafan kaanp raha hai har qasr salateen e zaman kaanp raha hai shamsheer bakaf dekh ke haider ke pisar ko jibreel larazte hai samete huwe par ko sher e ali ki aamad hai ye..(2) aate hai darya pe alamdaar lashkar mein badi dhoom hai..(3) aate hai darya pe alamdaar lashkar mein badi dhoom hai..(3) 1. Jab chala mashko alam lekar wo saqqa e haram tha ali jaisa hi alamdaar ka jaaho hasham keh utha darya..YaAbbas..(4) keh utha darya iske paas haider ka alam..(2) chhod de sahil ko pehre daar 2. Al amaa'n ka shor uttha yak ba yak maidan mein yun laga ke gir hi jayega falak maidan mein maut ka naara..YaAbbas..(4) maut ka naara ye gunja door tak maidan mein..(2) aagaye kya haider e qarraar 3. Tegh se likhega ye jarraar qissa maut ka ek pal tootega na aada se rishta maut ka hai faras tera..YaAbbas..(4) hai faras tera sare maidaa'n farishta maut ka..(2) aaj tu hai bar sare paikaar 4. Har qadam rahwaar ke hamraah chalti hai qaza hai dhamak aisi larazta hai ye dashte nainawa ab teri talwaar...YaAbbas..(4) ab teri talwaar se paani piyegi alqama..(2) aye khudai fauj ke salaar 5. Zulf hai toole shabe me'raaj ki tasweer si Hai jabeen e naaz kohetoor ki tanweer si hai teri nazro mein...YaAbbas..(4) hai teri nazro mein tezi haideri shamsheer si..(2) aa teri aamad ki aye jarraar 6. Shimr ke jab saamne aaya ali ka laadla ghayz aaya aasteeno ko ulat kar ye kaha kya kya lade hai khaibar o badr o tabook mein ye haath pyaas mein na ruke hai na bhook mein shohrat hai apni jood o sakha ki mulook mein hatim se bhi sakhi hai sewa hum sulook mein bigde hai jab to khoon ke darya bahaye hai sar dediya hai baat pe jis waqt aaye hai jung aazma hai saff shikan o qal ageer hai haibat mein, dabdabe mein, adeemun nazeer hai duniya ke baadshah hai garde sareer hai is auj par husain ke darr ke faqeer hai rutbe pe faqr hai, na shaja'at pe naaz hai gar hai to bus ghulami e hazrat pe naaz hai tab shimr ne kaha, ke fasahat se kya husool bay'at unhe, to sulho hame bhi nahi qubool ghaazi pukara, O najis o murtad o jahool lijo na mu se naame jigar gosha e batool samjha hai kya imam e iraq o hejaaz ko kutti se khaich lunga zabane daraaz ko tu kya hai aur kya hai tera wo ameer e shaam karte hai baadshaah kahin bay'at e ghulaam tu bhi namak haraam hai, wo bhi namak haraam O be adab! Yazeed kuja aur kuja imaam dozakh se door rehte hai sakin bahisht ke kaaba kabhi jhuka nahi aage kanisht ke sunte hi us sher ki lalkaar.. lashkar mein badi dhoom hai..(3) 7.  Masroof the jehaad mein abbas e bawafa nagaah aayi khaime ke deodi se ye sadaa kya ab sakina pyaasi hi mar jaye ae chacha kab tak ladoge fauj se bus ho chuki wegha sukhe huwe labo'n pe, meri jaan aayi hai ae noore chashme saaqiye kausar duhai hai al qissa pohcha sahil e darya pe bawafa aada se darya cheen ke mashkiza bhar liya mashko alam sambhal ke khaime ka rukh kiya barse wo teer mashk chidi aur alam gira paani na pohcha pyaaso ko aye waaye alqama baazu kata ke sher bhi darya pe sogaya aye mazhar o farhan qayamat hui bapa haatho'n se kamar thaam ke aaye shahe huda bhai ko zakhmi dekh ke nauha yahi kiya abbaaasss kya hai ke aankh band kiye ho haya se tum kya kuch khafa ho sibte rasool e khuda se tum aksar, aksar hame bachate the loo se, hawa se tum ham hath gaye hai gard to jhaado qaba se tum hai dopahar ka waqt, baradar pe dhoop hai arey saaya karo alam ka mere sar pe dhoop hai mere sar pe dhoop hai mere sar pe dhoop hai