لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Unnesso hai zakhm

Farhan (ALI WARIS)2016
ShiaNohaLyrics
Haay.. Haaye... Gir kar kabhi uthe kabhi rakha zamee'n pe sar ublaa lahu kabhi to sambhala kabhi jigar hasrat se ki khayam ki janib kabhi nazar karwat kabhi tadap ke idhar li kabhi udhar uth baithe jab..(2) to zakhmo se barchi ke phal gire teer aur tan me gadh gaye jab mu' ke bal gire jungle se aai fatema zehra ki ye sadaa ummat ne mujhko loot liya wa mohammada is waqt kaun haqqe rifaqat kare adaa zainab se boli fatema zehra basad bukaa unnees so hai zakhm tane chaak chaak par zainab nikal hussain tadapta hai khaak par..(2) 1. Kis chaah se paala ise aanchal me chupaa kar mai jaagti rehti ise raato'n ko sulaa kar chakki bhi jo peesi hai to godi me bitha kar kis haal me dekha hai ise dasht me aakar 2. Hai kaun jo mazloom ko teero'n se bachaye sehroz ke pyase ko koi paani pilaye zakhmo mein bhari khaak koi aake chudaye har laash uthayi hai ise kaun uthaye 3. Abbas ke marne se kamar toot chuki hai akbar ke bichhad jaane se beenai gai hai in ankho'n me besheer ki turbat bhi bani hai hai aakhri lamhaat ajal sar pe khadi hai 4. Kuch der me khanjar mere bache pe chalega afsos dame zibha bhi pani na milega khanjar ke kai zarbo se sar iska katega ghayyur hai beta mera hargiz na kahega 5. Baqi hai abhi jaan tera bhai hai zinda ghode kahin dauda na de bedard hai aada hay hay koi bekas ko nahi puchne wala bhai se mohabbat hai to maqtal me chali aa 6. Ye bayn mai sunti hu tere baba ali se hojaenge pamaal abhi laashe sabhi ke kuch marhale baqi hai ghareebul watani ke jaa haal zara dekh le is pyaase akhi ke 7. Aajiz hai yaha aake to har ek sukhanwar farhaan anees e shahe wala hoke mazhar likh paya nahi aaj talak koi wo manzar jab kehti thi zainab se meri bibi tadapkar unnees so hai zakhm tane chaak chaak par zainab nikal hussain tadapta hai khaak par..(3)