لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Amma fizza abbas ko bulana

Farhan (ALI WARIS)2018
ShiaNohaLyrics
Aagaya bazaar e shaam..(5) Aada ke pattharo ka zainab bani nishana amma fizza abbas ko bulana Chadar nahi hai sar par.. haye haye(2) hai be haya zamana amma fizza abbas ko bulana Aada ke pattharo ka zainab bani nishana amma fizza abbas ko bulana 1. Raaho mein chalte chalte kyu qafela ruka hai jakda hai bediyo'n mein sajjad gir gaya hai aata hai shimr lekar.. haye haye(2) haatho mein taziyana amma fizza abbas ko bulana 2. Jakdi hui rasan mein lachar bibiya'n hai sar par rida nahi hai purkhaar wadiya'n hai in wadiyo'n mein chal kar.. haye haye(2) pandhra so (1500) meel jaana amma fizza abbas ko bulana 3. Shabbir ki yateema khati hai jab tamache mai roke puchti hu tujhko bachau kaise abbas ko bulale.. haye haye(2) deta hai shimr taana amma fizza abbas ko bulana 4. Baalo se apna chehra har gaam par chupau mai malka e haya hu darbaar kaise jaau mai ro rhi hu lekin.. haye haye(2) hasta hai ye zamana amma fizza abbas ko bulana 5. Zainab ka naam lekar zalim bula raha hai sajjad natawa ko phir khoo rula raha hai ghairat ke us khuda ko.. haye haye(2) manzar hai ye dikhana amma fizza abbas ko bulana 6. Kaise baya'n karenge farhan aur mazhar har gaam keh rahi thi zainab yehi to rokar bazaar se guzar kar.. haye haye(2) zindaan tak hai jaana amma fizza abbas ko bulana