لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhai hussain kya ye tumhari hi laash hai

Farhan (ALI WARIS)2018
ShiaNohaLyrics
Laash par mazloom bhai ki jab aayi thi bahan aankh se aasu rawa the aur tha lab par sukhan ya hussain, ya hussain..(2) teero se jiska saara badan paash paash hai..(2) bhai hussain kya ye tumhari hi laash hai..(2) 1. Amma ne jeeteji jise rone nahi diya ranjo alam koi bhi uthane nahi diya hadd hai ke dhoop mein bhi nikalne nahi diya amma ne jisko kaata bhi chubne nahi diya teero se.... 2. Tan par jo ek libaas tha wo taar taar hai zakhmo se jism hi nahi dil bhi figaar hai har teer tere jism ka khud sogwaar hai is laash par ghareeb behen ki pukaar hai teero se.... 3. Qurbaan teri laash par aye jaan e sayyada afsos teri laash par sar bhi nahi raha ye haal tera dekh ke karti hu mai buka behti hai meri aankh se ashko ki alqama teero se.... 4. Abbas ko bulau ya akbar ko du sadaa tumne uthaya dasht mein laasha har ek ka laasha uthau mai tera mazloom e karbala lekin ghareeb e nainawa mujhko ye tu bata teero se.... 5. Paala tha maa ne kya tumhe is din ke waaste maqtal ki garm ret par tadpoge pyaas se be rehm log le gaye sar tann se kaat ke pehchanu kaise laash ko tu hi bata mujhe teero se.... 6. Farhan o mazhar abidi kaise kare baya'n karbobala ke dasht mein laasho ke darmiya'n is bekasi ro padi makhduma e jaha'n ki laasha e hussain pe zainab ne jab fugha'n teero se....