لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye hasan maula

Farhan (ALI WARIS)2018
ShiaNohaLyrics
Zehra ka jigar paara, haider ka dulara..(2) haye hasan maula, haye hasan maula nikla hai tera ghar se do baar janaza haye hasan maula haye hasan maula..(3) 1. Joda ne jigar tukde kar daala tumhara haider ki adawat ka liya tumse hai badla is zulm se karbal ka aaghaaz hua tha haye hasan maula..(3) 2. Shabbir pe aur tujhpe ek jaisa sitam tha yaa teer janaze par, waha'n teero pe laasha do baar hua tukde zehra ka kaleja haye hasan maula..(3) 3. Teero se bhara laasha ghar laut ke aaya pehchaan nahi paayi zainab tera laasha dil thaam ke zainab ne har teer nikala haye hasan maula..(3) 4. Tukde tha jigar tera jis tarha se maula qasim ka badan tukde usi tarha hua tha puche koi ummat se kya jurm tha tera haye hasan maula..(3) 5. Chauda so(1400) baras beete ye zakhm hai taaza farhan ho ya mazhar sab karte hai nauha taa hashr tere ghum mein royegi ye duniya haye hasan maula..(3)