لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaha ghareeb ka ghar

Farhan (ALI WARIS)2018
ShiaNohaLyrics
Fatima zehra, fatima zehra..(2) ghum e hussain mein kaisa sharaf ye paaya hai ke apne haatho'n se maine alam sajaya hai suna hai aati hai majlis mein fatima zehra ye baat soch ke farsh e azaa bichaya hai karam ye majlis e shabbir ne kiya warna kaha'n ghareeb ka ghar, aur kaha'n hussain ki maa..(2) karam ye majlis e shabbir ne kiya warna kaha'n ghareeb ka ghar, aur kaha'n hussain ki maa..(2) 1. Khabar hai binte rasool e khuda ke aane ki badal rahi hai hawaein ghareeb khane ki..(2) mera naseeb ke mehmaa'n hui meri zehra kaha'n ghareeb ka ghar... 2. Farishte, shaah, gadagar sabhi hai peshe nazar hai ambiya ki qatarein lagi mere ghar par..(2) tumhare aane se bibi ye martaba paaya kaha'n ghareeb ka ghar... Ye majlis e shabbir mein behte hue aasu firdaus ke bagho'n mein saja deti hai zehra shehzadi zamee'n par ise girne nahi deti bach jaye to kausar mein mila deti hai zehra 3. Ye nauha khwani ye soz o salam aur matam hamare ashk hai bibi ke zakhm ka marham..(2) agar na hote wasila ye matam o nauha kaha'n ghareeb ka ghar... 4. Ghareeb khane ko jannat bana diya bibi khushi ye aisi hai jisne rula diya bibi..(2) har ek ashk ne aankho se girte girte kaha kaha'n ghareeb ka ghar... 5. Sare hussain jo sheeree ke ghar mein aaya tha sare hussain ke hamraah aayi thi zehra..(2) jo dekha bibi ko sheeree ne ye kiya nauha kaha'n ghareeb ka ghar... Haye.. Jab kisi ghar mein koi mar jaye... mar jaye duniya ghum baatne ko aati hai... aati hai haye kitni ghareeb hai zehra... pursa lene bhi chal ke aati hai ya hussain, ya hussain..(2) Ghar mein mere majlis hui aur bich gaya farsh e aza zakir ne jab majlis padhi aur haal rukhsat ka jo padha itna roi zehra..(2) Farhan aur mazhar padha, nauha shahe mazloom ka tha zikr jab ashoor ka, shabbir par khanjar chala itna roi zehra..(2) Dete rahe ehle azaa ghazi ka pursa, sarwar ka pursa akbar ka qasim ka asghar ka pursa itna roi zehra..(2) Zainab ka kulsum o fizza ka pursa sajjad bali sakina ka pursa itna roi zehra..(2) Baali ka pursa, chadar ka pursa aun o mohammad ka baqer ka pursa itna roi zehra..(2) Naizo pe rakhe har ek sar ka pursa bibi tumhare har ek ghar ka pursa itna roi zehra..(2)