لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maa Humse Razi Rehna

Farhan (ALI WARIS)2018
ShiaNohaLyrics
Haye Lashay jab Aun o Muhammad a.s K Utha Laye Hussain a.s Pocha Zainab s.a Ne Yeh Shabbir a.s Se Karte Howe Bain Mere Bachon Ne Wasiyat Bhi Koi Ki Bhaiyya Roo K Zainab s.a Se Yeh Kehne Lage Us Waqt Hussain a.s Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Akhiri Hijki Mein Kehte Thy K Amma Se Yeh Kehna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Dard Seenay Mein Jo Uthta Hai Teharta Bhi Nahi Khoon Ansoo Se Jo Behta Hai Wo Rukta Bhi Nahi Apki Gam Ne Nasiyat Na Bhulai Amma Pani Peena Tu Kuja Pani Ko Dekha Bhi Nahi Zakham Itne Hain K Mushkil Howa Ab Dard Ko Sehna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Amma Nana Ne Duain Di Hamein Barh Barh Kar Aur Dada Ne Kaha Jeetey Raho Jaan O Jigar Kitni Rahat Mili Hum Kaise Bataein Amma Waqt E Akhir Jo Liya Mamoo ne Aghosh Mein Sar Unki Aghosh Mein Yeh Mout Lagi Phoolin Ka Gehna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Amma Hum Sadqa Hai Akbar a.s Ka Hamein Mat Roona Koi Sadqay K Liye Ansoo Bahata Hai Kiya Bhaiyya Akbar a.s Ki Bari Dhoom Se Shadi Karna Ham Rahein Na Rahein Zinda Rahay Akbar a.a Tera Tere Shahzadon Ne Hai Mout Ka Sehra Pehna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Amma Tum Lout K Jis Waqt Watan Jao Gi Khali hujroon Mein Wahan Ham Ko Nahi Pao Gi Tumko Baba Ki Qasam Sabar Wahan Par Karna Hum Ko Maloom Hai Us Waqt Tarap Jao Gi Yaad Aa Jaye Ga Jis Waqt Hamara Kehna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Sun K Yeh Noha Bohat Roonay Lage Ahl E Aza Arsh Aur Farsh Se Aanay Lagi Girye Ki Sada Kaisi Purdard Wasiyat Hai Yeh Shahzadon Ki Roo K Farhan Se Yeh Kehne Laga Zille Raza Noha Yeh Aun O Muhammad a.s Ka Sunatay Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna Thi Yehi Aun O Muhammad a.s Ki Wasiyat Behna Maa Ham Se Raazi Rehna Maa Ham Se Raazi Rehna