لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yateemi hai sakina hai

Farhan (ALI WARIS)2018
ShiaNohaLyrics
Haye... riwayat mein ye hai jab bhi qafla daudaya jaata tha sar e shabbir naize se (sadaa ye deta jaata tha)..(2) sambhalo tum ise zainab abhi bazaar jaana hai..(2) yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2) 1. Laee'n isko darate hai kabhi durre lagate hai sitamgar tez naaqo se ise neeche girate hai sakina jab bhi roti hai tamache bhi lagate hai meri bachhhi ko aye zainab laeeno se bachana hai..(2) yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2) 2. Kaha'n ye phool si bacchi kaha'n seh roz ke faaqe abhi dekhe hai khud isne chacha aur bhai ke laashe bade sadme uthaye hai kaee raato ki jaagi hai hamare baad seene par tumhe isko sulana hai..(2) yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2) 3. Kaleja thaam lo zainab ye manzar khoo'n rulata hai mera sajjad ghairat se nigaaho ko jhukata hai ke zalim ab sakina ko kanizi mein bulata hai behen na paak nazro se sakina ko chupana hai..(2) yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2) 4. Yazeed e nehes kehta hai meri baali sakina se agar hai pyaar baba ko to kehdo sar se khud aaye hai waqt e imteha'n zainab meri bachhi na mar jaye hamare sar ko khud uthkar ab uske paas jaana hai..(2) yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2) 5. Gaye qabr e sakina par juhi farhan aur mazhar bohot roye kiya matam jo dekha shaam ka manzar unhi logo ke narghe mein ghiri hai aaj bhi muztar wo hi tanhaiya'n bhi hai andhera qaid khana hai..(2) yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)