لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zuljanah zuljanah

Farhan (ALI WARIS)2020
ShiaNohaLyrics
Zuljanah, zuljanah..(2) Khali aaya hai shabbir ka zuljanah Zuljanah, zuljanah zuljanah se sakina ne rokar kaha 1. Kyu hai baage kati, jism zakhmi tera zeen khali hai kyu, aur sar hai jhuka bolta kyu nahi, chup hai teri zabaa'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 2. Tere payro'n se lipti mai kehti rahi baad baba ke mai jee nahi paungi mere baba ko tu, chhod aaya kaha'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 3. Ab tamacho'n se mujhko bachayega kaun mujhko seene pe apne sulayega kaun is yatimi mein ab, kaun hai sayebaa'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 4. Jis tarha mere saare sahare gaye tu bata kya mere baba maare gaye kyu teri aankh se, hai ye aansu rawaa'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 5. Kund khanjar chalane laga jab laee'n mere baba ko paani diya kya nahi? yaa dame zibha bhi, the wo tishna daha'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 6. Mujhko batla gaye zakhm tere hai jo itna zakhmi hai tu, kitne zakhmi the woh teer kitne lage, kis qadar barchiya'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 7. Dard furqat se dil mera phat jaega apne baba ke seene pe chayn aayega hai jaha'n babajaa'n, mujhko le chal waha'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) 8. Haye farhan o mazhar, sakina dukhi zuljanah se lipat kar wo roti rahi keh rahi thi ye masoom ki siskiya'n zuljanah, zuljanah hai kaha'n baba jaa'n..(2) Zuljanah, zuljanah..(4)