لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ka parcham

Farhan (ALI WARIS)2021
ShiaNohaLyrics
Abal fazl..(6) Abbas alamdar wafadar wafadar..(2) Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham 1. Parcham mere murshid ka jo ghar ghar pe laga hai ye saare azadaro pe zahra ki ataa hai is parcham e abbas ko zainab ki dua hai kon isko jhukayega bhala kis mein hai ye dum ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abal Fazl..(4) 2. Ghazi ka sakina se wafa ka hai ye aalam parcham se juda mashk hai na mashk se parcham jaise kisi baazu pe ho taweez muqaddam ye baali sakina ki dua saath hai har dum ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas alamdar, wafadar wafadar..(2) 3. Matam na ruka tha na ruka hai na ruke ga parcham na jhuka tha na jhuka hai na jhuke ga har lehza julooso ki qayadat yeh karega ho koi fiza, koi waba, koi bhi mausam ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abal Fazl..(4) 4. Parcham yeh marizo ko shifa baa'nt raha hai duniya ko mohabbat ki fiza baa'nt raha hai aulaad, makaa'n, rizq, wafa baa'nt raha hai kya fikr ho diniya ki hame kya ho bhala ghum ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas alamdar, wafadar wafadar ..(2) 5. Yeh baat hai bachpan ki mujhe yaad abhi bhi har aath moharram ko jo baba se kahi thi yeh parcham e abbas uthana hai mujhe bhi kuch saath mera di jiye hai umr meri kam ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abal Fazl..(4) 6. Manzar yeh julooso mein nazar aata hai humko tasleem kiya sab ne isi jood o karam ko sar jhukta nahi uska uthaye jo alam ko yeh naara lagate hai kabhi aap kabhi hum ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas alamdar, wafadar wafadar ..(2) 7. Haan mazhar o farhan nazar ayega ek din maula ka alam kaabe pe lehrayega ek din dil Fatima Zahra ka sukoon payega ek din khush honge bohot dekhke yeh Waris e adam ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham Abal Fazl..(6)