لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Imam e Zamana

Farhan (ALI WARIS)2021
ShiaNohaLyrics
Imam e zamana.. Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 1. Haseen manzar wo kab dikhega khuda ke ghar pe alam ka saaya namaz padhwaenge jo maula to piche saff mein milenge Isa haram mein majlis bapa karenge padhenge nauha - Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 2. Bohot hi chota sa ghar hai mera par isme hujra hai ek tera sharaf ye mere liye bada hai tu mujhse kar le ye ek waada bus ek shab ko tu mere ghar mein qayaam karna - Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 3. Misal e kaaba ye dil hai mera hai isme maula tera basera sada e dhadkan mera areeza bhala mai kaghaz pe ab likhu kya jo dhadkano ki sada sunega tu jaan lega - Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 4. Safar tha paidal jab arbaee'n ka mai har jagah tujh ko dhundhta tha tu zaero mein, tu ashiqo mein aye mere maula kahi'n to hoga ye soch kar hi mai sabke qadmo ko chumta tha- Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 5. Kitab e haq se ye maine jaana har ek shay ko panah hai maula laga hua hai qaza ka pehra nahi hai saanso ka ab bharosa jo band hojaye meri ankhein mujhe jagana- Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 6. Tujhe tasawwur mein jab bhi dekha Ali ke jaisa tera hasham tha hai tere qabze mein tegh e haider alam hai kandhe pe bawafa ka misal e dul dul sawaar andaaz fatehana - Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana 7. Dua hai mazhar ki raat din ab kahenge ameen matami sab ho sehne kaaba mein jab bhi majlis karaye zikr e Hussain o Zainab ba garz e nauha tum apne farhan ko bulana - Imam e Zamana Uthake parda, dikha do jalwa Aye ibn e Zahra - Imam e Zamana