لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tadfeen E Husain

Farhan (ALI WARIS)2021
ShiaNohaLyrics
haye ay rony walo hai yeh gharhi shor e shain ki tadfeen ho rahi hai imam e hussain ki koofy sy aye pehny jo sajjad bairhian lashe hussain dekh ky aansoo huye rawaan hathon ko jorh kar kiya beemar ny bayaan baba tumhari lash ko dhundun kahan kahan kaisy kafan dun laash ko ghurbat naseeb hun baba main aaj tum sy zyada ghareeb hun ro kar bani asad ky qabeely ko di sada lashe hussain mil ky ikatha karo zara utry lahad mein shah ki beemar e karbala boly parhun main kis tarah talqeen ya khuda rukh kaisy sooye kaaba ho zehra ky chain ka sar hi nahi raha mery baba hussain ka jitny bhi tukry mil saky sab chun liye gaye ahista sy lahad mein woh beemar ny rakhy seeny py hath rakha jo bety ny baap ky halat py baba jaan ki sajjad ro parhy boly keh yad ati hai is waqt dadi jaan torhi hain is tarha mery baba ki paslian looti hai aisy laash ghareeb ud dayaar ki ghorhon sy pehly laash ki pamali ki gai phir kurta aur amama abaa ly gya koi yehi nahi keh sirf angoothi nahi mili bey ehtrami ki hai yun zehra ky chain ki ungli laeen ny kaati hai baba hussain ki teeron sy sara jism hai haye bhara hua pehloo py baba jaan ky hai naiza garha hua terah jaghon sy in ka gala hai kata hua hai tan yahan py sar wahan khoon sy bhara hua sar dekh kar yaqeen hai mery khandaan ko mara hai patharon sy mery baba jaan ko barh kar bani asad ny yeh ek baat pooch li mola muaaf kijiye gar ho khata koi choti si kya yeh seeny py shay hai rakhi koi abid ki baat sun ky har ek maan tarhap gai boly yeh dekh dekh ky dil pash pash hai seeny py baba jaan ky asghar ki laash hai poocha kisi ny mola barabar mein kon hai shabbir is ky seeny py kiun hath hain rakhy lagta hai in ko pyar tha is nojawan sy akbar ka naam lety hi sajjad ro parhy boly keh hath seeny py yun hai rakha hua hai bety ky kalaijy mein naiza laga hua aai sada yeh fatima zehra ki qabr sy sajjad laot aao keh baba ko ro chuky koofy mein yad karti hai beti meri tujhy tum to yahan ho woh bhala awaz kis ko dy zainab ky dill ko aur bhi zaalim rulata hai shimr e laeen behan ko tamanchay lagata hai sajjad karbala ky woh manzar ajeeb thy farhan aa rahi thi yeh awaz qabr sy milwa do beta phir zara abbas sy mujhy bolo keh akhri yeh meri baat maan ly abid pukary ay dill e ehsan aaiye matti lahad py dalny abbas aaiye matti lahad py dalny abbas aaiye