لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sada Rahega Hussain

Farhan (ALI WARIS)2022
ShiaNohaLyrics
Hussain...(4) Fanaa ho jaegi duniya lekin khuda ka hai waada jab tak ye azaa rahegi Zehra ki dua rahegi Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) Zindabad Zindabad Sheh ki azaa zindabad Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain 1. Shabbir ka ghum rahega sada naslo ko wirse mein dedi azaa kal hum rahe na rahe kya pata Zikre azaa, aaho buka yeh soch kar karna sada Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hum hai dua e sayyeda hum hai fida e hussain ..(2) Zindabad Zindabad Sheh ki azaa zindabad Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) 2. Nikle gharo se sabhi nauhagar paidal julooso mein karne safar na fikr e mausam na dushman ka darr..(2) Oonche alam, badhte qadam roke hume, hai kisme dum Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain -------------------------------------- Seene me dil, dil mein hai dhadkan dhadkan mein hussain aankho'n mein ashko ka hai sawan sawan mein hussain manga hai Allah se jeevan jeevan mein hussain karbobala hai mera maskan maskan mein hussain Haan.. Tum bhi karo hum bhi kare - Matam e hussain Tum bhi karo hum bhi kare - Majlis e hussain Haan.. Tum bhi bano hum bhi bane - Zaer e hussain Tum bhi chalo hum bhi chale - Maqtal e hussain Tum bhi uthao alam - hum bhi uthaye alam Tum bhi badhao qadam - hum bhi badhaye qadam Tum bhi yeh khao qasam - hum bhi ye khaye qasam Tum bhi manaoge ghum - hum bhi manaenge ghum Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain 3. Rasm e wafa yu nibhate hai hum bachho ko saqqa banate hai hum tehzeeb e majlis sikhate hai hum..(2) Nauha padho, matam karo hum ne kiya, tum bhi karo Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain 4. Zikr e azaa ko aur badhao naslo ko yu parwaan chadhao matami aur namazi banao jo kiya tumne, inhe bhi sikhao guzre jaha bhi juloos azaa ke raho mein unke sabeelein lagao Haan.. Ye hai sabeelein ye pyaso ka matam Ya hussain ya hussain Raaho mein hai ye aseero ka matam Ya hussain ya hussain Ye khoo'n ka pursa ye zakhmo ka matam Ya hussain ya hussain Sholo pe Abid ke chhalo ka matam Ya hussain ya hussain Zikr e sakina tamacho ka matam Ya hussain ya hussain Hota rahega shaheedo ka matam Ya hussain ya hussain Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) 5. Har saans pe qarz hai sheh ka ghum jitna bhi matam karein wo hai kum farsh e azaa par nikal jaye dum..(2) Jitni bachi, hai zindagi karte rahe, ye naukri Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) -------------------------------------- Maut ke sailaab mein har khusk o tar beh jaega Haan magar naam e hussain ibn e ali reh jaega Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) 6. Bibi ki mehnat ye rang layi hai matam ka har koi shehdayi hai ehle azaa ne qasam khayi hai..(2) Ye dil hai kya, ye jaa'n hai kya shabbir par, sab kuch fida Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain -------------------------------------- Hum na kabhi bulenge ye ghum Maula ki qasam Nauha padhenge yuhi har dum Maula ki qasam Rukne nahi denge ye matam Maula ki qasam Jhukne nahi denge ye parcham Maula ki qasam -------------------------------------- Ehle azaa aao matam kare hum Ya hussain ya hussain Mehve buka aao matam kare hum Ya hussain ya hussain Saadat ka aao matam kare hum Ya hussain ya hussain Ghum hai bada aao matam kare hum Ya hussain ya hussain Goonj e sadaa aao matam kare hum Ya hussain ya hussain Bus har jagah aao matam kare hum Ya hussain ya hussain Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) 6. Yeh tera matam ye nauhe rahenge Farhan o Mazhar ye kehte rahenge naslo ko paigham dete rahenge yu hi charagh e azaa bhi jalenge na yeh qadam ruk sake na rukenge majlis ki janib ye badhte rahenge Na tum rahoge na hum rahenge..(2) sun le ye saara zamana Azaa rahegi azaa rahegi sada rahega hussain hussain Hussain hussain maula hussain hussain.. (2) Hussain.. Hussain ..(2)