لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaj chup hogayi Fatima

Farhan (ALI WARIS)2023
ShiaNohaLyrics
Fatima Fatima..(2) Fatima... Fatima Apne bacho se aasu chupaye hue ro rahe hai Ali sar jhukaye hue ghar hai veeran kaisi yeh raat aagayi ruk chuki hai sadaa.. haye tasbeeh ki chhod ke chal basi Fatima aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 1. Jab bhi royi hai yeh baap ki yaad mein log bole Ali, Fatima se kahe itna girya humein sone deta nahi raat mein roye ya din mein roya kare aye madine ke logo suno ab nahi royegi Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 2. Haal apna kisi ko suna naa saki is tarah darr gira ke utha naa saki bus isi dard ne maar dala ise apne Mohsin ko bhi yeh bacha naa saki zakhmi pehlu ka ghum bhool kar sirf roti rahi Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 3. Paon uthte na the itni zakhmi thi woh apne ghar mein bhi ruk-ruk ke chalti thi woh uski tooti hui thi sabhi pasliya'n kitni takleef mein saans leti thi woh apne baba ke hi sheher mein kitni mazloom thi Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 4. Ghum se phat-ta hai dil yeh batate hue jab tamacha sitamgar ne maara use has raha tha laee'n, saamne tha Hasan sakht sadma tha yeh ek maa ke liye apna chehra chupate hue khaak par gir gayi Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 5. Kab kisi ko bhi dekha hai is haal mein yeh zaeefa hai attharwe(18) saal mein ghum uthaye hai itne kamar jhuk gayi aagayi hai safedi har ek baal mein ab na aakar sataye koi haan bohot thak chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 6. Jab Ali ke gale mein rasan thi bandhi Ya Ali kehke yeh peeche peeche chali zalimo se Ali ko chhudate hue haath par taziyane bhi khaati rahi haan magar aaj rote hue keh rahe hai Ali Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra 7. Ghar se Zeeshan o Farhan mayyat uthi qabr ke paas jab leke pohche Ali utthe do haath turbat se aayi sadaa saunp do aye Ali mujhko beti meri rakhke turbat mein bole Ali lijiye ya nabi Fatima Aaj chup hogayi Fatima har sitam seh chuki Fatima Aaj chup hogayi Fatima Mazlooma Ya Zahra Mazlooma Ya Zahra