لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baba mai sakina

Farhan (ALI WARIS)2023
ShiaNohaLyrics
Baba.. Aye baba, mai sakina Meri halat zara dekho baba baal bikhre hai mere paas se khushk gala jal gaye khaime sabhi jalgaya mera kurta baliya'n chin gayi, kano se lahu behta raha Aye baba.. Mere rukhsar the chote, shimr ka haath bada tha usne maara jo tamacha, hua zakhmi mera chehra kya yatimo pe sitam karta hai koi aisa aapne naam mera rakhha sakina baba mujhe koi bhi sakina nahi kehta baba ab mujhe kehte hai sab log yateema baba Aye baba Aap ke baad bade zakhm mile hai baba suno din raat mere kaise kate hai baba Baba mai sakina, baba mai yateema..(3) 1. Jal gaye, Jal gaye khaime bhi, asbaab bhi sab loot liya jhula besheer ka, sajjad ka bistar bhi jala Shimr ne, Shimr ne kaano se aye baba gauhar khech liye aag daaman mein lagi khoon bhara hai kurta mujhko durro se, tamacho se hai itna maara pusht zakhmi hai meri, zakhmi hai chehra saara Baba mai sakina, baba mai yateema..(2) Aamadam ba tu biguyam che kashidam baba baad e tu juz ghum o juz ranj na deedam baba Baba man ruqaiyye, baba man yateemam (Persian) 2. Baba jaan, Baba Jaan mann beh suragh at beh biyabaan raftam Deedamat beesar o bar seenaye to uftadam Baaz hum, Baaz hum ta ke ruye seenah to khuaham burd Yeki anguneh maara zadd keh be khud pecheedam Dast dar moo ye saram, az to Juda kard mara Ham beh shallaq zadan dushman bee-dard mara Baba man ruqaiyye, baba man yateemam Baba mai sakina, baba mai yateema 3. Dhundhne, Dhundhne aapko mai dasht e bayaban gayi aapki khushbu se mai aapko pehchan gayi Aapke, Aapke seene pe kuch der ko neend aayi mujhe shimr ne aise jagaya ke meri jaan gayi khaich kar baal mere, tumse chhudaya baba jab mai royi to mujhe durra lagaya baba Baba mai sakina, baba mai yateema Baba man ruqaiyye, baba man yateemam (Persian) 4. Dar safar, Dar safar zakhmi o ranjeedeh shud in dukht e hazin Baz ke uftada ham az pusht e shutur ruye zamin Har kuja, Har kuja dar safar az pushte shutur uftadam baba joon naam e tura burdam o faryad zadam Baba man baad e tu awareh shudam, dar be daram pas kujayi ke bibini keh cheh aamad beh saram Baba man ruqaiyye, baba man yateemam Baba mai sakina, baba mai yateema 5. Raah mein, Raah mein aapne kya dekha nahi yeh manzar muh ke bal jab mai giri naaqe se dauran e safar Pusht bhi, Pusht bhi zakhmi thi chehra bhi hua phir zakhmi mere zakhmo me chubhi garm zamee'n ke patthar aap bhi mujhko na pehchane wo halat thi meri mai wohi beti hu jo seene pe soti thi kabhi Baba mai sakina, baba mai yateema..(2) 6. Dum mera, Dum mera ghut-ta tha jab khichti thi har baar rasan ladkhadate the qadam chalne na deti thi thakan Mai kabhi, Mai kabhi panjo pe chalti thi kabhi kaa'nto par paao mein chaale the aur chaalo mein hoti thi chubhan jiteji baat yehi baba mujhe maar gayi ek mujrim ki tarha baba mai darbaar gayi Baba mai sakina, baba mai yateema..(2) 7. Ye sitam, Ye sitam dekhke aye baba mai kyu marr na gayi aapke sar pe chadi maar ke hasta tha shaqi Saat sau(700), Saat sau(700) kursi nashee'n baithe the khamosh sabhi haay saadat ke haq mein nahi bola koi bibiyo ne mujhe halqe mein chupaya baba mujhko zalim ne kanizi mein jo maanga baba Baba mai sakina, baba mai yateema..(2) 8. Qaid mein, Qaid mein Mazhar o Farhan sakina ne kaha sabko zinda'n mein mujhe zere zamee'n qaid kiya Tha waha'n, Tha waha'n itna andhera ke mai ghabrati thi na phuphi saath thi, na amma thi, na bhaiyya mera aapka sar jo mila baba mujhe chayn mila ab mile ya na mile mujhko rehayi baba Baba mai sakina, baba mai yateema..(3)