لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Noor e nazar ki laash

Farhan (ALI WARIS)2023
ShiaNohaLyrics
Haye ghareeb e zehra Haye ghareeb e zehra Haye ghareeb e zehra Haye ghareeb e zehra Ek shakhs ka jawaan pisar qatl hogaya har baap ki tarha se woh sadma na seh saka rote hue hussain ke roze ka rukh kiya kehne laga ke mujh mein nahi itna hausla maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha Maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha..(2) 1. Ankho'n ka jo ujala tha woh, laal margaya naazo se jisko paala tha woh, laal margaya atthara saal wala tha woh, laal margaya mamta ka jo hawala tha woh, laal margaya maa ko khabar ye jaake sunate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha 2. Bete ki laash dekhke khud laash bangaya beta jawaan mar gaya zinda rahu mai kya yeh aapka jigar hai jo sadma yeh sehgaya yaani jawaan bete ka laasha utha liya haatho pe apna laasha uthate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha 3. Aaya koi hai ghusl ko, laaya kafan koi bete ki laash mujhko salamat hi mil gayi tooti hui jigar mein nahi, naize ki ani ghodo ke daudne se to pamal na hui aankho se khoon dil ka bahate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha 4. Seh roz ka to pyaasa nahi tha mera pisar barchi ke phal se tukde nahi laal ka jigar akbar to bhookha pyasa tadapta tha khaak par seene se apne laal ki barchi nikal kar shukr e khuda ko hoto'n e laate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha 5. Woh waqt ke jo farz nibhane ka waqt ho woh laal jisko dulha banane ka waqt ho haatho pe jiske mehendi lagane ka waqt ho woh jiske sar pe sehra sajane ka waqt ho mayyat pe uski phool sajate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha 6. Akbar ka pursadar tha humsar to nahi tha bete se maula ke badhkar to nahi tha yusuf misal husn ka paikar to nahi tha beta mera haseen tha akbar to nahi tha ehsas e zabt itna dikhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha 7. Salman azmi yehi rawi ne hai likha mayyat pisar ki apne nahi woh utha saka bete ke muh pe muh ko rakha aur mar gaya tareekh ne ye waqeya mehfooz kar liya meraj karbala ki batate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha maula batayein farz nibhate hai kis tarha noor e nazar ki laash uthate hai kis tarha Haye ghareeb e zehra Haye ghareeb e zehra Haye ghareeb e zehra Haye ghareeb e zehra