لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shahzada e ali akbar

Farhan (ALI WARIS)2023
ShiaNohaLyrics
Haay Din ro ke guzarta hai aur raat bhi matam mein jazbaat likhe sare sughra ne tere ghum mein khat aaya hai sughra ka karti hai behan noha khat aaya hai sughra ka karti hai behan noha haan tere liye bhaiyya ghar ho gaya weera'n Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan ================================= 1. Is ghar mein umeedo ke jalte hain diye bhaiyya..(2) kyun karbobala jake tum bhool ge waada..(2) ghar lout ke ajao ab aur na tadpao sughra pe taras khao mai tum pe hun qurba'n Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan ================================= 2. Behno ka sahara to hote hain sada bhai..(2) behno ki nigaho mein rehte hain sada bhai..(2) aankho mein tera chahra phirta hai mere bhaiyya khaali hai tera hujra behna hai paresha'n Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan ================================= 3. Yeh socha tha sughra ne dulhan teri laungi..(2) mai neg bhi mangungi mehandi bhi lagaungi..(2) tu lout ke na aaya dil toot gaya mera phir khaak hue bhaiyya is dil ke sab armaa'n Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan ================================= 4. Ek saal huwa bhaiyya chehra na tera dekha..(2) is baat pe roti hoon sehra na tera dekha..(2) duhan jo kabhi lana mujhko bhi bula lena tum bhool nahi jana rakh lena mera maan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan ================================= 5. kaano mein mere aayi awaz e azaa'n akbar..(2) mein rote hue pohchi tab nana ke roze per..(2) karbal se hawa aayi yeh sath khabar laee akbar ne sinaa khayi hai bar sare maidaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan ================================= 6. Maqtal mein shah e wala bas khaak udate the..(2) khat fatima sughra ka akbar ko sunate the..(2) yeh waqeya jab likha lafzo ne kiya girya bas khatm huwa noha ay mazhar o farhan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan Shahzada e ali akbar Sughra ke dil o jaan